Wednesday, September 2, 2009

Aankh se dur na ho dil se utar jayega – Ahmed Faraz



aankh se dur na ho dil se utar jayega
waqt ka kya hai guzarata hai guzar jayega
itna manus na ho khilvat-e-gam se apani
tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega


tum sar-e-rah-e-vafa dekhte rah jaoge
aur wo bam-e-rafaqat se utar jayega


zindagi teri ata hai to ye janevala
teri bakhshish teri dahaliz pe dhar jayega


dubate dubate kashti to ochala de dun
main nahi koi to sahil pe utar jayega


zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka ‘faraz’
zalim ab ke bhi na royega to mar jayega
 


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment