Saturday, September 5, 2009

Kaho Woh Chand Kaisa Tha



Kaho Woh Chand Kaisa Tha
Jidhar Sub Kuch Lootaa Aaye
Jidhar Sub Kuch Gawa Aaye
Kaha Sae’lab K Jaisa Buhat Chaha K Bach Niklein
Magar Sub Kuch Baha Aaye


Kaho Woh Hijr Kaisa Tha
Kabhi Choo Kr Usey Dekha
To Tum Ne Kya Bhala Paya
Kaha Bus Ik Aag K Jaisa, Usey Choo Kr To
Apni Rooh Ye Tun Man Jala Aaye
Kaho Woh Wisl Kaisa Tha
Tumhein Jab Cho Liya Us Ne
To Kya Ehsas Jaga Tha
Kaha Ik Raastey Jaisa , Jidhar Se Bus Guzarna Tha
Makaa’n Lekin Bana Aaye


Kaho Woh Chand Kaisa Tha
Falak Se Jo Utar Aaya
Tumhari Aankhon Mein Busne
Kaha Woh Khwab Jaisa Tha ,Nahin Thi Tabeer Koi Uski
Usey Ik Shab Sula Aaye


Kaho Wo Ishq Kaisa Tha
Bina Soche Bina Samjhay
Bina Parkhey Kiya Tumne
Kaha Titli Ke Rung Jaisa ,Buhat Kachaa Anokha Sa
Jabhi Us Ko Bulla Aaye


Kaho Wo Naam Kaisa Tha
Jisey Saehrao’n Per Likha Tumne
Kaha Bus Mausamoo’n Ki Tarah, Najane Kis Ghari Kis Pal
Kisi Ro’o Mein Mita Aaye



No comments:

Post a Comment