Din ko mis’maar huey raat ko taameer huey,
Khwaab hi khwaab faqat rooh ki jageer huey,
Umar bhar likhtay rahy phir b warq saada raha,
Janay kya lafz thay jo humse na tehrer huey,
Ye alag dukh hai k hain tere dukhon se azaad,
Ye alag qaid hai hm kyun nhi zanjeer huey,
Deeda-o-dil me tere aks ki tashkeel se hm,
Dhool se phool huey, rang se tasveer huey,
Kuch nhi yad k shab raqs ki mehfil me “MEER”…
Hum juda kis se huey kis se baghal-geer huay.
No comments:
Post a Comment