kya sarokar ab kisi se mujhe
vasta tha to tha tujhi se mujhe
behisi ka bhi ab nahi ehasas
kya hua teri berukhi se mujhe
maut ke aarzoo bhi kar dekhun
kya ummiden thi zindagi se mujhe
phir kisi par na aitabar aaye
yun utaro na apne jee se mujhe
tera gham bhi na ho to kya jina
kuch tasalli hai dard hi se mujhe
kar gaye kis qadar tabah ‘zia’
dushman, andaz-e-dosti se mujhe
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Zia Jalandhari
No comments:
Post a Comment