Wednesday, October 10, 2007

Kaise chupaun raz-e-gam dida-e-tar ko kya karun – Hasrat Mohani



Kaise chupaun raz-e-gam dida-e-tar ko kya karun
dil ke tapish ko kya karun soz-e-jigar ko kya karun
shorish-e-ashiqi kahan aur meri sadagi kahan
husn ko tere kya kahun apni nazar ko kya kahun
gham ka na dil mein ho guzar vasl ke shab ho yun basar
sab ye qubul hai magar khauf-e-sahar ko kya karun
hal mera tha jab butar tab na hui tumhen khabar
bad mere hua asar ab main asar ko kya karun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Mohani



No comments:

Post a Comment