Tuesday, October 9, 2007

Is mein koi fareb to ae aasman nahi – Qamar Jalalvi



Is mein koi fareb to ae aasman nahi
bijli vahan giri hai jahan aashiyan nahi
sayyad main asir kahun kis se hal-e-dil
sirf ek tu hai wo bhi mera ham-zuban nahi
tum ne diya hamari vafaon ka kya javab
ye hum vahan batayengetum ko yahan nahi
sajde jo but-kade mein kiye meri kya khata
tum ne kabhi kaha ye mera aastan nahi
gum-karada rah ke matti na ho kharab
gard us taraf udi hai jidhar karavan nahi
q shama-e-intazar bujhate ho ae “qamar”
nale hain ye kisi ke sahar ke azan nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalvi



No comments:

Post a Comment