“”AY “ALLAH PAK” poori dunia main jitne log hen sab ko hidayet ata farma aur jo bemar hen ya preshan hen tu un sab ko apne karam se maaf farma or un ki bemari or dono jahan ke preshaniyon ko khatam farma,
or
Ay “ALLAH PAK” jis ne mje ye dua send ki us ko b hidayet ata farma aur us k tamam gunahon ko maf farma or us ke qismat achi ker or dunya aur akherat mai kamiyabi ata farma.”Ameen”
apny lye zror dua krwaeye .Na jany kis ki zuban sy ap ki taqdeer sanwar jae
<Aameen>
Thursday, April 30, 2015
Best Dua Sms For All
Aaj Jagi Hui Yaadon Ko Sula De Saqi - Ghazal Shayari
Mai Nahi Hai To Mujhe Zehar Pila De Saqi..
Mai: Wine, Zehar: Poison, Saqi: Bartender
Tishnagi Bujh Na Sake Gi Mere Paimane Se,
Mere Honton Ko Surahi Se Laga De Saqi…
Tishnagi: Thirst, Paimane: Scale, Surahi: Jar
Taara-e-Ehsaas Ko Phir Cheer Zara Holay Se,
Aaj Ek Bhoola Hua Geet Suna De Saqi…
Wednesday, April 29, 2015
Jahan ban ban ke aas dil ke tuti jati hai – Yahya Jasdanwalla
jahan ban ban ke aas dil ke tuti jati hai
waheen qismat khadi becharagi pe muskurati hai
gam-e-ulfat ke hathon jo mita be-asara ho kar
usi pamal-e-gam ko haye ab duniya satati hai
kahan rehta hai qabu phir dil-e-nakam par mujh ko
ke jab rah rah ke tanahai mein teri yaad aati hai
hava-e-gam ka muntazar hun vafur-e-shauq mein ‘yahya’
magar ab dekhiye un ke tajalli kya dikhati hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Yahya Jasdanwalla
Tuesday, April 28, 2015
watching Fashi0n TV
A Father was watching Fashi0n TV,
suddenly his younger Son came . , . . &
Father diplomatically said:
‘ Ghareeb larkiyan hen,kapre lene k lye b paise nhi’
Son: ‘ Is se b ghareb dekhni hai to CD hai mere pas’ 😉
Lafzon Mein Fasaane Dhoondte Hai Hum Log
Lafzon Mein Fasaane Dhoondte Hai Hum Log,
Lamhon Mein Zamaane Dhoondte Hai Hum Log,
Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saqi,
Jeene Ke Bahaane Dhoondte Hai Hum Log,
Har Zakhm Ko Seene Pe Saja Lete Hai,
Har Dard Ko Hum Dil Mein Basa Lete Hai,
Tum Phoolon Pe Sote Ho To Dukhta Hai Badan,
Hum Kaanto Ko Aankhon Se Laga Lete Hai..!!!
Tumhari Dua’aon Se Shayad Ho Jayn Mere Liye Aasaniyan Peda
Bas Yehi Soch Kar Mujhe Apni Har Dua Mein Yaad Rakhna…..
I Know You will…
Monday, April 27, 2015
Girls Loudest cry
silence is a girls Loudest cry
but no one not a single person tries to understand it
but instead force them to speak !!!
Hum Ishq Ke Adaab Sey Begane Nahi Hain
Hum Ishq Ke Adaab Sey Begane Nahi Hain
Deewane Hain Par Aise Bhi Deewane Nahin Hain
Har Lafz Mey Ek Zinda Haqiqat Ki Jhalak Hai
Afsaane Hamare Faqat Afsaane Nahin Hain
Jin Hathon Sey Maikhane Ki Bunyad Padi Hai
Sadhaif Unhi Hathon Mey Paimaane Nahin Hain
Aap Apni Hi Aatish Mey Hai Jalne Ka Maza Aur
Iss Raaz Sey Waqif Abhi Parwane Nahin Hain
Aasaan Nahin Hai Gesu-E-Hasti Ka Sanwarna
Hum Uske Sazawaar Hain Farzaane Nahin Hain
Hum Chaand Ke Viraanon Ko Aabaad Kare Kyun
Kya Apni Zameen Par Kahin Veeraane Nahin Hain
Kuchh Aur Hai Aye Dost Gam-E-Dil Ka Madawa
Rangeen Chhalakte Hue Paimaane Nahin Hain
Phir Garmi-E-Mehfil Ka Sabab Kaun Hai Mansha
Gar Hamse Jigar Sokhta Mastaane Nahin Hain..!!!
Sunday, April 26, 2015
Muhabbat ke sagar chalakane lage hain – Ibrahim Ashk
muhabbat ke sagar chalakane lage hain
wo dil ban ke dil mein dhadakane lage hain
ye kaisi vafaon ke ritu aa gai hai
khayalon mein ek bekhudi cha gai hai
qadam zindagi ke bahakane lage hain
umangon ke phoolon se daman bhara hai
mera khwab kaise haqiqat bana hai
nigahon mein jugnu jhamakane lage hain
sitaron se aage hai duniya wafa ke
magar hum ne ke hai tamanna wafa ke
jahan aj hairat se takane lage hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ibrahim Ashk
Saturday, April 25, 2015
Relationship Should Erase
Your Relationship Should Erase
Your Tears Not Your Smile,
Love Shouldnt Hurt..
It Heals..
ALLAH per bhaorsa
“Agr ALLAH pr bharosa kro jesa k haq ha to wo tumko
aesay RIZQ da ga jesay parindo ko deta hai k subah khali pait ja k sham ko pait
bhar k atay hain.”
Bad Dua Na Kehna
Maire Jazbo Ko Tum Rahega Na Karna
Muje Beech Rah Mai Tum Tanha Na Karna
Mairi Sub Manzale Tumhi Se Hai Sanam!
Tumhi In Rastho Ka Nishan Mita Na Dena
Jin Zahkmo Ko Seh Na Sako Mai Kabhi
Tum Muje Isi Koi Kari Saza Na Dena
Tum Maire Siwa Kisi Or Ko Na Chaho Gey
Ye Diwangi Hai Mairi,Ise Shikwa Na Samjna
Agar Zindagi N Sath Na Diya Kisi Mor Pe
To Tum Muje Argaz Bewafa Na Kehna
Duniya Mai Hazaro Dil Totate Ho Gai Par
Hum Safar Tum Muj Se Kabhi Juda Na Hona
Khuda Kare Mairi Maut Bi Tere Sath Ho
Ye Ishq Hai Mariam Ka Ise Bad Dua Na Kehna
Cold Drink Pine Ka Mood
Sher:O Budhe ruk,muje tra khun pina h,
Budha-kisi jawan admi ka piyo!
Uska khun garam hoga.
Sher:nhi aj mera coldDrink pine ka mud h.
Friday, April 24, 2015
Kai marhale aur sar karne hain – Anwar Shaoor
Kai marhale aur sar karne hain
abhi to bahut se safar karne hain
badi aur neki yaqin aur shak
hain jitne bhi aib-o-hunar karne hain
hatheli pe rakhte hain apna kafan
jinhen apna jivan amar karne hain
sitam hai ki duniya ke kitne hi kam
zaruri nahi hain magar karne hain
karoge kabhi tark bhi tak-jhank
ki ye silsile umr bhar karne hain
bahut sakht mausam hai lekin ‘shaoor’
kisi taur ye din basar karne hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anwar Shaoor
Badnam mere pyar ka afsana hua hai
Badnam mere pyar ka afsana hua hai
divane bhi kahate hain ke divana hua hai
rishta tha tabhi to kisi bedard ne toda
apana tha tabhi to koi begana hua hai
badal ke tarah aa ke baras jaiye ik din
dil aap ke hote hue virana hua hai
bajate hain khayalon mai teri yad ke ghungaru
kuch din se mera ghar bhi parikhana hua hai
mausam ne banaya hai nigahon ko sharabi
jis phul ko dekhun vahi paimana hua hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Poet Unknown
Aankhon Main Ye Aansoo
Hanste Hue, Aankhon Main Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yun Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Se Aankhon Main Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Se Na Taqdeer Se
Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai In Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaayi Main Mera Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
Kash Main Tere Hansi Hath Ka Kangan Hota
Kash Main Tere Hansi Hath Ka Kangan Hota
Tuo Bare Pyar Se Chao Se Bare Maan K Sath
Apni Nazuk Si Kalai Main Charhati Muj Ko
Or Betabi Se Furkaat K Khiza Lamho Main
Tu Kisi Soch Main Dubi Jo Ghumati Mujkho
Main Tere Hath Ki Khushbo Se Dehekh Sa Jata
Jab Bhi Kabhi Mod Main Tu Muje Ko Chuma Karti
Main Tere Honton Ki Hiddat Se Dehek Sa Jata
Kuch Nahi Tu Ye Benaam Sa Bandhan Hota
Kash Main Ter Hansi Hath Ka Kangan Hota
Thursday, April 23, 2015
Misbah ne last bal pe 6 marne ki koshish ki
KaL Misbah ne last bal pe 6 marne ki koshish ki to wo gir gya or us k andr sy awaz i: “Hm Maazrat khuwa hain” Ap k system m matluba sahulat moujood nhi. 😀
Wednesday, April 22, 2015
Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
Aur Phir Main Door Se Dekha Kiya
Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usool
Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usool
Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya
Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya
Aur Phir Main Door Se Dekha Kiya
Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
Kuch Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi
Kuch Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi
Tumse Kya Kehte K Tumne Kya Kiya
Tumse Kya Kehte K Tumne Kya Kiya
Aur Phir Main Door Se Dekha Kiya
Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
Ho Gayi Thi Dil Ko Kuch Umeed Si
Ho Gayi Thi Dil Ko Kuch Umeed Si
Khair Tumne Jo Kiya Acha Kiya
Khair Tumne Jo Kiya Acha Kiya
Aur Phir Main Door Se Dekha Kiya
Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
Monday, April 20, 2015
Pyar Ka Izhar
Mai Karta Raha Tujh Se Payar Ka Izhar
Tu Todti Rahi Mera Dil Bar Bar
Tadapta Raha Mai Teri Ek Haan K Liye
Aur Ye Zamana Husta Raha Mujh P Hur Baar
Hato Ki Lakiro Ko Bhi Na Tha Gawara
Meri Kismat Me Kahan Thi Teri Mohabbat
Mere Mukaddar Me Kahan Tha Tera Pyar
Hamare daramiyan aisa koi rishta nahi tha – Parveen Shakir
hamare daramiyan aisa koi rishta nahi tha
tere shanon pe koi chat nahi thi
mere zimme koi aangan nahi tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahi paya
kisi iqarar ne meri kalai ko nahi thama
hava-e-dasht ke manind
tu aazad tha
raste teri marzi ke tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha
magar jab aj tu ne
rasta badala
to kuch aisa laga mujh ko
ke jaise tu ne mujh se bevafai ke
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Parveen Shakir
Sunday, April 19, 2015
Main Mar Jaon Tu Mere Seene Se
Gaamo ne baant liya mujhe yu aapas me,
k jeise me koi loota hua khazana tha.
Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha.
Dehkti aag thi, tanhai thi fasana tha.
Gaamo ne baant liya mujhe yu aapas me,
k jeise me koi loota hua khazana tha.
Ye kya chand hi kadmo pr thak k baith gye,
tumhe to sath mera door tak nibhana tha.
Mujhe jo mere lahoo me duubo k guzra hai,
wo koi gair nhi,yaar ek puraana tha.
Khud apne hi hath se us ko kaat diya,
jis darakt ki tehni pe aasiyana tha.
Gaamo ne baant liya mujhe yu aapas me.
K jeise me koi……………
7500388037
Ishq-E-Mohammed Ko Na Bolo
Kya Shaan Ha Ye Aankh Kahan Jaa Ke Larri Ha
Yaan Rehmat-E-Maula Sar-E-Darbaar Kharri Ha
Aashufta Sari Ishq-E-Mohammed Ko Na Bolo
Milti Nahi Har Ek Ko Ye Shaan Bari Ha
Deevana-I-Mehboob-E-Khuda Se Koi Pooche
Ye Jwhdi-E-Musalsal Ki Barri Sakht Karri Ha
Allah Jise Sarwar-E-Kaunain Bana De
Uss Shah Ki Har Baat Sadaqat Se Bhari Ha
Afkaar Men Kirdar Mein Her Baat Mein Yakta
Itmaam-E-Nabuwwat Ki Yehi Ek Karri Ha
Masjoood-E-Malaik Hai Risaalat Kaa Gharana
Imroz Muhammed Ki Wiladat Ki Gharri Ha
Mein Taalib-I-Deedar Hun Kab Se Mere Aqa
Aankhon Mein Meri Deed Ke Ashkon Ki Larri Ha
Nabiyo’n Mein Kisi Ko Na Mili Dawat-E-Meraj
Ye Shaan Bhi Azmat Ke Chiragho’n Men Rachi Ha
Chughtai Na Mar Jai Bina’n Deed Ke Teri
Kitna Hai Woh Khud Gharz Use Apni Parri Ha
Saturday, April 18, 2015
Tum chup rahe payam-e-muhabbat yahi to hai – Hashim Raza
Tum chup rahe payam-e-muhabbat yahi to hai
aankhen jhukin nazar ke qayamat yahi to hai
mahafil mein log chaunk pade mere naam par
tum muskura diye meri qimat yahi to hai
tum puchate ho tumane shikayat bhi ke kabhi
sach puchiye to mujahko shikayat yahi to hai
wade the beshumar magar ae mizaj-e-yar
hum yaad kya dilayen nazakat yahi to hai
mere talab ke had hai na tere ata ke had
mujahko tere karam se nidamat yahi to hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hashim Raza
Urdu Sad Shayari – Guman Hun Na Qayas Hun
Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas Hun
Kabhi Aa Key Mujhse To Pochta K Mai Kis K Gham Mai Udass Hun
Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass Hun
Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua Kabhi Tune Ghour Nahi Kia
Ksi Sham Tune Kaha To Tha Teri Sans Hun Teri Aas Hun
Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass Hun
Ksi Or Ki Ankh Se Dekh Kar Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aietbar Hun Jan-E-Man Na Guman Hun Na Qayas Hun
Marne Ki Dua De Dilse
Ek Yaar Khafaa Hai Humse,
Wo Pyaar Khafaa Hai Humse,
Ek Zindagi Thi Jo Meri,
Wo Dildaar Khafaa Hai Humse..
Kehti Thi Wo Humse,
Na Hogi Khafaa Kabhi Humse,
Bichad Bhi Jayein Jeevan Mein,
Na Hogi Judaa Kabhi Dilse..
Ek Arsa Beeta Hai Ae Dil,
Na Koi Khabar Mili Unse,
Chaahat Mein, Ibaadat-E-Ishq Mein,
Jaane Kya Khataa Hui Humse..
Rooti Hai Humse Wo Dil,
Gusse Ki Wajah Keh Humse,
Milne Ki Dua De Humko,
Ya Marne Ki Dua De Dilse..
Taluq tor Aya
Shikista aainu ki kirchian achi nhi lagti….
Mujy khali baton ki seepian achi nhi lagti….
Us sy yeh keh k ta’luq tor aya hu….
Meri jan! Mjy zidi ladkian achi nhi lagti…
From: Qamar Saghir ( 03315161307)
Friday, April 17, 2015
Ye Larki jo
Aey Allah! Ye Larki jo msg parh rhi hy, ye bht achi aur pyari hy, iski zndgi khushiyon se bhar dena, isko bht agay barhana jtni usko umeeden hyn us sy zyada iski madad krna or iski zndgi men ujala bharna or Tu iska nasib acha krna. Aameen!! Ye msg hr us larki ko bhejen jo apko pyari hay….!
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Pehle Jaan Phir Jaan-E-Jaan Phir Jaan-E-Jaana Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Deen-Ba-Deen Badhti Gayi Iss Husn Ki Ranaiya
Pehle Gul Phir Gulbadan Phir Gulbadama Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Aap Tou Nazdik Se Nazdik-Tar Aate Gaye
Pehle Dil Phir Dilruba Phir Dil Ke Mehman Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Pyaar Jab Haad Se Badha Saare Taqalloufh Mit Gaye
Aapse Phir Tum Houe Phir Tu Ka Unwan Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Pehle Jaan Phir Jaan-E-Jaan Phir Jaan-E-Jaana Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Dil Ye Mera Kyun Rone Laga
Gulami toh sirf….
Apne maa baap ka krta hu
WARNA DUNIYA K LIYE HUM KAL BHI BADSHAH THE AUR AAJ BHI H.
सुन्दर कविता जिसके अर्थ काफी गहरे हैं ****
मैंने हर रोज जमाने को रंग बदलते देखा है,
उम्र के साथ जिंदगी को ढंग बदलते देखा है !
वो जो चलते थे तो शेर के चलने का होता था गुमान,
उनको भी पाँव उठाने के लिए सहारे को तरसते देखा है !
जिनकी नजरों की चमक देख सहम जाते थे लोग,
उन्ही नजरों को बरसात की तरह रोते देखा है !
जिनके हाथों के जरा से इशारे से टूट जाते थे पत्थर,
उन्ही हाथों को पत्तों की तरह थर थर काँपते देखा है !
जिनकी आवाज़ से कभी बिजली के कड़कने का होता था भरम उनके होठों पर भी जबरन चुप्पी का ताला लगा देखा है !
ये जवानी ये ताकत ये दौलत सब कुदरत की इनायत है
इनके रहते हुए भी इंसान को बेजान हुआ देखा है !
अपने आज पर इतना ना इतराना मेरे यारों,
वक्त की धारा में अच्छे अच्छों को मजबूर हुआ देखा है !
कर सको तो किसी को खुश करो,
दुःख देते तो हजारों को देखा है !!
Thursday, April 16, 2015
Wo Bachpan Ki Neend To Ab Ek Khuwab Ho Gai
Kia Umer Thi Ke Raat Hui Aur So Gaye….
Wednesday, April 15, 2015
Jeet Ki Haar
Main TUJY Bhula B Doon
KHUD Ko Mita B Doon Jala B Doon
PHIR B Meri ROOH Mera Jism , Meri JAAN
Mery DIL Ki Sakoot Dherknain
Tera He NAAM Laiti Rahain Gi
SAWAL Kuch Hoga
Jawab Main , MAIN Sirf Tujy He Mangoon Ga
Main Tujy Kaisy BHULA Doon
DERD K Uss Kharund Ko Jo Bherta Ja Raha Hai
Meri JAAN Kaisy Sula Doon
Kaisy Main APNY Dil Ko Tassalli Doon
K MUHABBAT Main Haar B Hooti Hai
AE Kismat Bana`Ny Waly
Ager TU Dil Main Muhabbat Deta Hai,Chahat Deta Hai
To PHIR Ussy Wo B De Jo Uss Ki Chahat Hai
AE Dil_E_Nadan Bass Itna Samaj Loo
K Andhi AYE Thi
Sab K GHER Mehfooz Rahay
BERBAD Hova To Sirf MARA GHER . . . . . .
U R The Most CUTE
U r the most CUTE persons in the world!
Just a second, dont misunderstand.
.
CUTE means:
Creating
Useless
Troubles
Everywhere
Monday, April 13, 2015
No Tobacco Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest No Tobacco Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate No Tobacco Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy No Tobacco Day sms greeting.
Today is
World ‘NO TOBACCO’ Day.
A fully burnt
Cigarrate Ash said…
Today it’s Me,
Because of You,
Tomorrow it’s You,
Because of Me….
Happy No Tobacco Day Mubarak to all of you from shayari Online Team
Sunday, April 12, 2015
Sohne Sohne Nain-Naksh Usde
Sohne sohne nain-naksh usde
vekhan waale bada pasand karde
sade naal kare oh pyar hass ke
eho jiha Rabba koi parband kar de
sanu vi sohna bana Rabba
nahi taan sohne banaane band kar de!!
Tumhari Yaad Mujhe Satati Hai
To Kyon Tumhari Yaad Mujhe Satati Hai
Aati Hai Aur Tumhi Mein Simatkar Chali Jaati Hai
Kyon Yaadon Par Har Vakt Tumhara Pahara Rahta Hai
Aur Is Dil Ko Tumhare Pyaar Ka Aasra Rahta Hai
Tumne Kiya Ikraar Kai Baar
Maine Kiya Inkaar Aur Hui Mere Dil Se Meri Takraar
Tum Ise Na Janoge Kyonkii
Jaan Tum Mujhe Na Samajh Paoge
Tumhe Lakh Samjhaya Na Karo Mujhpar Ietbaar
Tumne Kaha Kaise Na Karoon Jab Pyaar Hai Tumse Harbaa
Intezaar Yeh Ehsaas Jitna Sunne Mein Acha Hai
Utna Hi Karne Mein Bura Hai
Tum Rehte Ho Harvakt Tanhai Mein, Tanhai Ke Saath
Yeh Tanhai Tumhe Mili Hai Meri Mohabat Mein Sogaat
Pehle Main Tumhe Janti Thi Ab Pehchanti Hoon
Tumhari Jubaan Kuch Nahi Par
Tumhari Aankhen Harbaar Ek Ansuna Fasaana Bayaan Karti Hain
Main Jaankar Anjani Nahi Hoon
Main Tumhari Kabhi Ho Sakne Wali Kismat Suhani Bhi Nahi Hoon
Mushkil Hai Bada Mushkil Chaahat Ko Bhula Dena
Aasan Nahi Yeh Aag Bhujha Dena
Uljhan Aur Kuch Nahi Par Hum Tumhe Naa Bhul Payenge
Mumkin To Nahi Lekin Tum Hume Bhula Dena
Barisho Ke Mausam Mai
Barisho Ke Mausam Mai, Waqt Ke Andhero Mai
Mene Usse Poocha Tha, Chod Toh Na Jaaoge
Haath Thaam Kar Usne Kaan Mai Ye Bola Tha
Kese Chod Sakta Hun, Tum Toh Meri Jaan Ho
Aur Aaj Aesa Hai, Zindagi Ke Is Modd Par
Wehshatoh Ke Mausam Mai, Mene Usse Poocha Hai
Chod Kar Hi Jaana Tha, In Muskurati Galiyon Mai
Fir Khushiyon Ki Aas Kyon Dilaai Thi,
Dil Mai Khushiyon Ki Pyaas Kyon Jagaai Thi
Mere In Sawaalo Par Na Voh Thehra, Na Voh Chaunka
Chalte-Chalte Itna Hi Kaha Bas
Mausamo Ka Khel Hai Sab
Hoti Hain Kayi Nazreen Dil Ko Choony Wali
Submitted By: Syeda Tania
Saturday, April 11, 2015
Diwali Seasons Greetings Quotes
Happy Diwali For Everone
Diwali Is The Gala Season Of Light,
The Season Of Divine Power.
Enjoy This Wonderful Collection Of Heart Touching
And Vibrant Diwali Poems,
Beautiful Diwali Love Poem,
A Diwali Poem To Show Love And To Thank Our Heavenly God,
The Spirit Of Power.
Roze Pe Mustafa Ke Udasee Si
Roze Pe Mustafa Ke Udasee Si Chaaie Hai
Kunbe Ku Khoke Zainabe Nashaad Aaie Hai
Rokar Pukari Nana Aay Faryad Laaie Hoon
Mai Choor Kar Hussain Ku Jungal Main Aaie Hoon
Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya
Ranj-o-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye
Nana Khudaa Kai Ghar Mai Na Hum Ku Amaan Mili
Bhaaie Ne Shahar Choor Ke Jangal Ki Raah Li
Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahain Huwa
Paani Bhi Bandh Hum Pai LayeNoon Nai Kardiya
Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai
Bachai Tarap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastai
Nana Shaheed Ho Gaye Bhayee Kai JaanNisar
Ek Ek Kar Kai Mar Gaye Ashab-e-Zee waqar
Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Run Pada
Bhayee Sai Bhayee Baap Sai Beta Bichar Gaya
Nana Zameene Karbobalaa Laa Hogayi
Qasim Ki Laash Ghooron Se Paamaal Hogayi
Nana Kataa Ke Shanon Ku Abbas Margaye
Ghurbat Me Bhaaijaan Ko Be Aas Kargaye
Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha
Khaa Kar Sina Jigar Mai Wo Mehru Bhi Chal Basa
Nana Shaqi Ki Teer Se Asgar Huwa Shaheed
Aisa Huwa Na Hoga Jahaan Main Sitam Shadeed
Nana Hussain Bai Kas-o-Bai Yaar Hogaie
Aamada Qatl Karnai Ku Kuffar Hogaie
Tarpai Jo Zer Khanjare Bai Aab Shahai Deen
Shirme Layeen Kai Zulm Sai Thar Ra Gaye Zameen
Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbab Lut Gaya
Nana Hamare Sar Pe Na Baqi Rahee Rida
Nana Hazaar Tarha Jafa Ki Layeeno Ne
Khaimo Mai Aag Lagaadi Laeeno Ne
Nana Huwi Aseer Tumhaari Nawasiyaan
Kauno Makaan Main Chaa Gayi Gham Ki Udaasiyaan
Nana Haram Hussain Kai Bazaar Main Gaye
Hum Sar Barehna Kufe Ke Darbar Main Gaye
Nana Tumhaari Aal Gayi Mulke Shaam Mai
Pohnchi Ali Ki Betiyaan Darbaare Aam Mai
Nana Haqeer Sahebbe Tatheer Hogaye
Ham Log Shehr Shaam Main Tash-Heer Hogaye
Nana Aseer Bara Thai Hum Ek Thi Rasan
Baandhe Gaye Thai Misle Gunaahgaar-e-Khastatan
Nana Hum Apne Haal Pe Rote Thai Zaar Zaar
Nana Hamaare Roonai Pe Haste Thai Badshaiaar
Nana Ajeeb Haal Hamaaraa Tha Us Ghadi
Ek Bibi Pichhe Dusri Bibi Kai Chupti Thi
Us Wakt Thar Thari Si Merai Tan Main Par Gayi
Sad Haif Hai Zammen Main Zainab Na Ghar Gayi
Itne Me Ek Shaami Nai Nana Ghzab Kiya
Saidani Ku Kaneezi Main Apni Talab Kiya
Hoti Thi Laakh Zillaten Hum Dekhte Rahe
Hans Hans Ke Taaziyaane Sitam Jhelte Rahe
Nanaa Tabaah Hoke Ham Aaye Hain Shaam Se
Ek Daaghe Nau Sakina Ka Laaye Hai Shaam Se
Nana Hamare Tan Pe Nishaano Ko Dekh Lo
Ab Tak Hai Neel Rassi Ke Shaanon Ko Dekh Lo
Zainab Dekha Kai Shanoon Ku Jab Karrahi Thi Bayaan
Tharaa Rahaa Tha Rouzae Sultaane Mashraqain
Bas Khatm Kar Nashar Ye Ghamnaak Daastaan
Rotai Hain Is Alam Main Zameen Aur Aasmaan
Ghusal ke kitne faraaiz
Molvi, pathan Se: Ghusal k Kitny Faraaiz Hain??
Pathan: Fraaiz kiya hota hei?
Molvi: Jin k bagher ghusal mukammal nai hota.
Pathan, sochny k bad bola, 4
Molvi: Shabaash
Kon Kon Sy ??
.
.
.
.
Pathan: TAAP, DaBa, Sabun ty Toliya..!
Friday, April 10, 2015
Sirf Lafzon Se Iqrar Hota Nahi
Sirf lafzon se iqrar hota nahi
ik janib se hi pyaar hota nahi
main tumhein yaad rakhne ki khaoon kasam
tum mujhko na bhulane ka wada karo
Thursday, April 9, 2015
Na shivale na kalisa na haram jhuthe hain – Ayaz Jhanswi
Na shivale na kalisa na haram jhuthe hain
bas yahi sach hai ke tum jhuthe ho hum jhuthe hain
hum ne dekha hi nahi bolate un ko ab tak
kon kehta hai ke pathar ke sanam jhuthe hain
un se miliye to khushi hoti hai un se milakar
shahar ke dusare logon se jo kam jhuthe hain
kuch to hai baat jo tahariron mein tasir nahi
jhuthe fankar nahi hain to qalam jhuthe hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ayaz Jhanswi
Wednesday, April 8, 2015
Desh Bhakti Shayari
Nikle Hai Veer Jiya Le Yun Apna Seena Taane
Has Has Ke Jaan Loota Ne Azad Savera Laane
Marke Kaise Jeete Hai Is Duniya Ko Batlana
Tere Lal Chale Hai Maiye Ab Teri Laaj Bachane
Marke Kaise Jeete Hai Is Duniya Ko Batlana
Tere Lal Chale Hai Maiye Ab Teri Laaj Bachane
Azadi Ka Shola Banke Khoon Rago Mein Dola
Din Aaj Ka Bada Suhana Mausam Bhi Bada Sunehra
Hum Sar Pe Bhand Ke Aaye Balidano Ka Yeh Saehra
Betaab Hamare Dil Mein Ek Masti Si Chaayi Hai
Aaye Desh Alvida Tujhko Kehne Ki Gadi Aayi Hai
Mehke Gaye Teri Fiza Mein Hum Banke Hawa Ka Jhoka
Kismat Walo Ko Milta Aise Marne Ka Mauka
Nikli Hai Barat Saja Hai In Gulab Ka Dola
Tuesday, April 7, 2015
Bal be garur-e-husn, zamin par na rakhe paon – Ibrahim Zauq
lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale
tum aag lene aaye the kya aaye kya chale
Bal be garur-e-husn, zamin par na rakhe paon
maninde aaftab wo be naqashe pa chale
kya le chale gali se teri hum ke jun nasim
aaye the sar pe khak udane, uda chale
aaluda chashm mein na hui surma se nigah
dekha, jahan se saf hi ahale safa chale
sath apne le ke tausane umare ravan ko aah
hum is saraye dahar mein kya aaye kya chale
fikare qanayat unko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke hirs-o-hava chale
ae ‘zauq’ hai gazab nigahe yar, alhafeez!
wo kya bache ke jis pe ye tir-e-qaza chale
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq
Dil ke sehara mein koi aas ka juganu bhi nahi – Noor Bijnauri
Dil ke sehara mein koi aas ka juganu bhi nahi
itna roya hun ki ab aankh mein aansu bhi nahi
qasa-e-dard liye phirati hai gulashan ke hawa
mere daman mein tere pyar ke khushbu bhi nahi
chin gaya meri nigahon se bhi ehasas-e-jamal
teri tasvir mein pahala sa wo jadu bhi nahi
mauj dar mauj tere gham ke shafaq khilati hai
mujhe is sil-sila-e-rang pe qabu bhi nahi
dil wo kam-bakht ki dhadhake hi chala jata hai
ye alag bat ki tu zinat-e-pahalu bhi nahi
ye ajab rahaguzar hai ki chattanen to bahut
aur sahare ko teri yaad ke baju bhi nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Noor Bijnauri
Monday, April 6, 2015
4 Hasti Duniya Mein
4 Hasti Duniya Mein sub se Ziada Roi Hain
1= Hazrat Aadam (A.S) Jannat se Nikalny Pr.
2=Hazrat Yaqub (A.S) Apne Betay Hazrat Yousuf (A.S) Ki Judai Mein.
3=Hazrat Yahyah (A.S) Khaufe Khuda Mein.
4=Hazart M0hammad-e- Mustafa (S.A.A.W) Apni Ummat Ki Fikar Me
Ho ske to Darood parh k frwd kr den. *ASSALAM O ALAIKUM*
Saturday, April 4, 2015
Meri Duaayon Tum Ho
Aesa kya likhoon ke tere dil ko taskeen pohanchey,
Kya yeh kaafi nahin ke meri duaayon mein tum ho…
Bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aaye – Kishwar Naheed
Bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aaye
us dil mein dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aaye
bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda
jab tu nahi to shahar mein tujh sa kahan se aaye
har chashm sang-e-khizb-o-adavat se surkh hai
ab aadmi ko zindagi karana kahan se aaye
vahashat havas ke chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon mein shaql ka saya kahan se aaye
jad se ukhad gaye to badalati ruton se kya
be-ab aainon mein sarapa kahan se aaye
sayon pe aitamad se ukta gaya hai jee
tufan mein zindagi ka bharosa kahan se aaye
gam ke thapere le gaye nagin se lambe bal
raton mein jangalon ka wo saya kahan se aaye
‘naheed’ faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmen na hon to aankh ka parda kahan se aaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kishwar Naheed
Meri Dharkano ki KITAB mein - Urdu love Poetry
Roman Love Poetry - Urdu Shayari
Friday, April 3, 2015
Mat Girana Apnay Aansoo Meri Laash Par
Thursday, April 2, 2015
Height Of Bad Luck
Height Of Bad Luck. . .
I Just Wanted To KISS
a CHARMING,
INTELLIGENT
&
MOST BEAUTIFUL PERSON On This Earth
But
My Lips
Cant Touch My Cheeks
Good night shayari in Urdu or Hindi
Following is the good night shayari in Urdu or Hindi. This Good night shayari in Urdu or Hindi language one of the master peaces and you will definitely enjoy it.
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon,
Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Dil Mein Basne Waale Bhi,
Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,
Jab Door Khahin Wo Bastay Hon,
Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,
Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,
Na Dil Mein Koi Ujala Ho,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Phir Neend bhala kab ati ha..?