Saturday, April 4, 2015

Bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aaye – Kishwar Naheed



Bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aaye
us dil mein dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aaye


bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda
jab tu nahi to shahar mein tujh sa kahan se aaye
har chashm sang-e-khizb-o-adavat se surkh hai
ab aadmi ko zindagi karana kahan se aaye


vahashat havas ke chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon mein shaql ka saya kahan se aaye


jad se ukhad gaye to badalati ruton se kya
be-ab aainon mein sarapa kahan se aaye


sayon pe aitamad se ukta gaya hai jee
tufan mein zindagi ka bharosa kahan se aaye


gam ke thapere le gaye nagin se lambe bal
raton mein jangalon ka wo saya kahan se aaye
‘naheed’ faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmen na hon to aankh ka parda kahan se aaye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kishwar Naheed



No comments:

Post a Comment