Monday, April 27, 2015

Hum Ishq Ke Adaab Sey Begane Nahi Hain



Hum Ishq Ke Adaab Sey Begane Nahi Hain
Deewane Hain Par Aise Bhi Deewane Nahin Hain
Har Lafz Mey Ek Zinda Haqiqat Ki Jhalak Hai
Afsaane Hamare Faqat Afsaane Nahin Hain
Jin Hathon Sey Maikhane Ki Bunyad Padi Hai
Sadhaif Unhi Hathon Mey Paimaane Nahin Hain
Aap Apni Hi Aatish Mey Hai Jalne Ka Maza Aur
Iss Raaz Sey Waqif Abhi Parwane Nahin Hain
Aasaan Nahin Hai Gesu-E-Hasti Ka Sanwarna
Hum Uske Sazawaar Hain Farzaane Nahin Hain
Hum Chaand Ke Viraanon Ko Aabaad Kare Kyun
Kya Apni Zameen Par Kahin Veeraane Nahin Hain
Kuchh Aur Hai Aye Dost Gam-E-Dil Ka Madawa
Rangeen Chhalakte Hue Paimaane Nahin Hain
Phir Garmi-E-Mehfil Ka Sabab Kaun Hai Mansha
Gar Hamse Jigar Sokhta Mastaane Nahin Hain..!!!



No comments:

Post a Comment