Wednesday, April 29, 2015

Jahan ban ban ke aas dil ke tuti jati hai – Yahya Jasdanwalla



jahan ban ban ke aas dil ke tuti jati hai
waheen qismat khadi becharagi pe muskurati hai
gam-e-ulfat ke hathon jo mita be-asara ho kar
usi pamal-e-gam ko haye ab duniya satati hai
kahan rehta hai qabu phir dil-e-nakam par mujh ko
ke jab rah rah ke tanahai mein teri yaad aati hai
hava-e-gam ka muntazar hun vafur-e-shauq mein ‘yahya’
magar ab dekhiye un ke tajalli kya dikhati hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Yahya Jasdanwalla



No comments:

Post a Comment