Thursday, March 27, 2014

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota – Mirza Ghalib



Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota
duboya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota
hua jab gham se yun behis to gham kya sar ke katane ka
na hota gar juda tan se to zannon par dhara hota
hui muddat ke ‘ghalib’ mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kahana ke yun hota to kya hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment