Saturday, March 29, 2014

Na ho gar aashana nahi hota – Seemab Akbarabadi



Na ho gar aashana nahi hota
but kisi ka khuda nahi hota
tum bhi us waqt yaad aate ho
jab koi aasara nahi hota
dil mein kitna sukun hota hai
jab koi muddava nahi hota
ho na jab tak shikar-e-nakami
aadmi kam ka nahi hota
zindagi thi shabab tak “seemab”
ab koi saneha nahi hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Seemab Akbarabadi



No comments:

Post a Comment