Saturday, March 22, 2014

Dussehra Shayari

ek choti si bhul ne maa ki aakho ka sitara chhin liya,
isi kahani me


~jay mata di~


2005 ki ek sachhi ghatna, me rajgiri market ke ek bekri me kam kar raha tha, bekri se rum jane ke liye hamko rajana 1 k.m. pedal chalna parta tha, ek din 5 baje kam khatm hone bad me dhire dhire rum ki or aa raha tha tabhi raste me ek budha aadmi ko dekha uska ek per nahi tha wah raste ke kinare khada hokar logo se paise mang raha tha par usse koi paisa nahi de raha tha mene budhe ki halat dekhkar usko 10rupya diya to budha thora muskuraya shayad wo hamko kuchh bolna chaha lekin uska aawaz ne sath nahi diya, dusre din sem time par me bekri se aa raha tha mene dekha wah budha sadak ke kinare betha huwa tha, jese hi me uske samne gya budha bola beta kuchh to de ke jao to mene usko bola baba sadak me itne aadmi ja raha hai aapne kisi se nahi manga lekin hamse hi kyo manga, to budha bola beta aadmi ki pahachan uski bhawna se ki jati hai, mene kal tumko pesa nahi manga lekin tumne khud aake mujhe 10rupye diye isse pata chalta hai ki aapke dil me dusro ke parti dya hai dard hai bhikhari bhi unhi logo se bhikh lena pasand karte jinke dil me garibo ke liye dya hoti hai isiliye mene aapse phir manga aaj, mene phir se use 10ru, de diya, isi tarah me us budha ko roj 10r, dene laga, dekhte hi dekhte durga puja aa gya dasehara ka din tha charo taraf mela laga huwa tha har ghar me khusiya hi khusiya thi, me mela dekhne ke liye rajgiri market me gya me waha par ja ke dekha charo taraf aadmiyo ka mela laga huwa tha, sabhi ke chehro par muskan thi kewal un logo ke chehre par nahi thi jo kinare me khade hokar chupchap bhikh mang rahe the, me bhi mata ke darbar ke samne khada hokar mandir ki sajawat nihar raha tha tabhi ek dukyarin bhikhari ki beta bolta hai maa mujhe paise do mujhe mela ghumna hai uski maa boli beta ye mela ham jese logo ke liye nahi hai, me chupchap wahi khada hoke unki bate sun raha tha, uska beta jid me ad gya mujhe paise chahiye mela ghumna hai bete ki jid ke samne maa har gai or apne bete ko 20ru, de diya, uska beta khusi se uchhlata huwa mela ke bhid me jakar ghumne laga, thori der bad ek shor sunai diya maro maro ki aawaz aa raha tha me samne jake dekha to dekhta hi rah gya usi bhikharin ke bachhe ko char panch aadmi milke mar raha hai, tabhi udhar se ek mota tagra aadmi aaya or puchha kya huwa bhai ek aadmi bola sala poket mar ke bhag raha tha usne bhi bache ke baal pakarkar ek chata jad diya, aakhir ek bachhe me kitni sahan shakti hoti hai bachha behos hokar gir pda, tabi ek bujurg aadmi ne aakar bola is bachhe kyo itna mara ki ye bachha behos ho gya, ek aadmi aage aake bola ye mera poket mar ke bhag raha tha, tabhi bujurg ne behos pde bache ke sare sharir me chek kiya use sirf 20r. mile jo uske maa ne diye the bujurg bola bhai aapke kitne paise ki poket mar hui, wah aadmi bola mera pura parce gayab hai, to wah bujurg bola is bache ke pas to parce nahi hai lagta hai aapko galatfemi ho gya hai aapne kisi or ki saja is masum bachhe ko de dali, wahi bhid me khada ek doctor bhi tha wah aage aakar bachhe ki hath pakarkar dekha or bola are ye bachha to mar chuka hai, marne ki baat sunkar us mele ki bhid me logo ke chehre me ek ajab sa dard peda ho gya jise labjo me byan karna bahut hi muskil hai, kisi ne sach hi kaha hai marte to bekasur log hai, kusurwar to aish karte hai,
mera aaplogo se winti hai ki galat afwah na felaye kyo ki ek choti si bhul kisi ki jaan le leti hai..


garibo ke jeewan me andhera hi andhera hota hai,


inke jeewan me kabhi kabhi sawera hota hai,


har jakham ubhar jata hai bina kisi marham ke,


kyoki inke jeewan me maa ka pehra hota hai..


r. indian 09746754681

No comments:

Post a Comment