Sunday, March 23, 2014

Lamhon ke aazab sah raha hun – Athar Nafees



Lamhon ke aazab sah raha hun
main apne vajud ke saza hun
zakhmon ke gulab khil rahe hain
khushbu ke hujum mein khada hun
is dasht-e-talab mein ik main bhi
sadiyon ke thaki hui sada hun
benam-o-numud zindagi ka
ik bojha uthaye phir raha hun
ik aisa chaman hai jis ke khushbu
sanson mein basaye phir raha hun
ik aisi zamin hai jis ko chukar
takadis-e-haram se aashna hun
ae mujh ko fareb dene wale
main tujh par yaqin kar chuka hun
main tere qarib aate aate
kuch aur bhi dur ho gaya hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Athar Nafees



No comments:

Post a Comment