Thursday, May 31, 2012

Who trusts you

Never lie to someone
who trusts you
Never trust someone
who lies to you

Teri jis tarf b uthe nazar

Ye jo hum mein Tum mein rabt hai,


Khuda kare ye sada rahe,


Ye chragh hai to jala rahe,


Ye phool hai to khila rahe,


Tuje naseeb hon muskrahtain,


Tere paas tera habeeb ho,


Tu jahan rahe sukhi rahe,


Tere sath meri dua rahe,


Tu dua kare to qabool ho,


Jo wafa kare to wasool ho,


Koi gham na Tere qareeb ho,


Tera jeevan khushi se bhra rahe,


Tu jahan chale saba chale


Tu jahan ruke bahaar ho,


Teri jis tarf b uthe nazar


Wohi mosm-e-gul khila rahe…!

Wednesday, May 30, 2012

Main To Is Wasty Chup Hun K Tamasha Na

Main To Is Wasty Chup Hun K Tamasha Na Bany
Tu Samajhta Hai Mujhe Tujh Se Gila Kuch Bhi Nahi...

Main To Is Wasty

Break the bones

Do not break anybodys heart they have only one.


Break their bones, they have 206.

Yun unaki bazm-e-khamoshiyon ne kam kiya – Saeed Rahi



Yun unaki bazm-e-khamoshiyon ne kam kiya
sab ne meri muhabbat ka ehataram kiya
hamara naam bhi lene laga wafa wale
hamen bhi aake farishton ne ab salam kiya
phir yahi khat, teri tasvir leke baith gaye
ye hum ne kam yahin subah aur sham kiya
zamana un ko hamesha hi ya rakhega
wo jisne ishq ke duniya mein apna naam kiya
tu bevafa hai magar mujhko jan se pyara hai
isi ada ne to ‘rahi’ ko tera gulam kiya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi



What I Dream Of Is An Art Of Balance

What I dream of is an art of balance,
of purity and serenity devoid of troubling or depressing subject matter –
a soothing, calming influence on the mind,
rather like a good armchair which provides relaxation from physical fatigue.

Narazgi sms in hindi



TUM KHAFA Q HO..?”


Tumhen muj se gila kya hy..?


Achanak


be rukhi itni..


Batao to hua kya hy..?


Manaaun kis tarah tum ko..?


Mujhy itna to


batla do..


Agar ab ho saky tum se..


To ye ahsan farma do..


Meri manzil mohabat hy..


Mujhy manzil pe pohncha do..


Tumhari aankh men aansu..


Mujhy achy nhi lagty..


Tumhary narm honton pe..


“Gily achy nhi lagty”..


Tumhary muskurany se..


Mera dil muskurata hy..


Tumhary rooth jany se..


Mera dil toot jata ha..



Teri Aankhon Main, Mere Dil Ka Nakhsa Ho Bhi Sakta Hai
Jise Deewar Samgha Hai Wuh, Wuh Rasta Ho Bhi Sakta Hai


Zamana Gour Se Daikhey, Jisey Is Ne Khuda Samjha Hai
Woh Is K Hath Ka Pather Tarasha Ho Bhi Sakta Hai


Nazur Se Door Re Ker Bhi, Kisi Soch Main Rehna
Kisi K Paas Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai


Woh Apni Sard Mehri Se, Mughey Hud Main To Rakhta Hai
Mera Hud Se Guzurney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai


Bhari Duniya Ka Meila Sath Ho To Koun Si Mushkil
Mager Aik Shakhs Meley Main Akela Ho Bhi Sakta Hai


Ye Seedhi Rah Per Chalna, Kahan Se Seekh Aye Ho
Ye Rasta Doosti Ka Hai, Ye Terra Ho Bhi Sakta Hai


Share with us more …Narazgi sms in hindi …in comments section below



Tuesday, May 29, 2012

Jiski Talaash Hai

Jiski Talaash Hai Usko Pata Hi Nahi
Humari Chahat Ko Usne Samjha Hi Nahi
Hum Puchte Rahe Ki Kya Tumhe Humse Pyar Hai
Wo Hass Kar Kehte Rahe Ki Unnhe Pata Hi Nahi

Monday, May 28, 2012

Gungunaaty Raaston Ki Dil-Kashi Apni

Gungunaaty Raaston Ki Dil-Kashi Apni Jagah

Or In Sab K Darmiyaan Teri Kami Apni Jagah...

Gungunaaty Raaston Ki

Christmas Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Christmas Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Christmas Day greeting.


Bachcho ka din, tohfo ka din,
Santa aayega kuch tumhe deke jayega,
Bhul na jana use shukriya kehna..
Yahi saadki ishu saa sikhayega!
Badedin ki shubhkamnaye
Merry Christmas


 May all the sweet magic
Of Christmas conspire
To gladden your hearts
And fill every desire.


Faith makes all things possible,Hope makes all things work,Love makes all things beautiful,May you have all the three for this Christmas.
MERRY CHRISTMAS!


Happy Christmas Day Mubarak to all of you from Shayari Online Team




Sunday, May 27, 2012

Unchi Emaarton Me Chup Gya Makaan

Unchi Emaarton Me Chup Gya Makaan Mera

Kuch Log Mere Naseeb Ka Sooraj Bhi Le Gaye...

Unchi Emaarton Me

Salam Pakistan



=–..__..-=-._.
!=–..__..-=-._;
!=- -..(*..-=_;
!=–..__..-=-._;
!
I
I


Piare Hum-Watno Ap Sub Ko
Piare Watan Pakistan Ka 64 Yom-E-Azadi Mubarak Ho,
Aae Or Aj K Din Rub-Ul-Kainat Se
Mil Kar Dua Krae K Wo
Hamare Pak Watan Ko Rehti Dunia Tak
Qaem Rkhae Or Pak Watan Ko
Amun Ka Gehwara Banae.
Aae K Aj K Din Rub-Ul-Izat Se
Dua Krae K Wo Hamari Pak Sur Zameen Me
Rhene Wale Tmam Mazahib K Logo K Darmian
Muhabt Peda Kre Or Hum Sub Ko Sirf Pakistani
Hone Pur Fakhar Krna Chahie Na K
Pathan,Punjabi, Sindhi,Ya Balochi Hone Pur.
Hamari Pehchan Pakistan He Or
We Are Proud To Be Pakistani
Jashan-E-Azadi-E-Pakistan Mubarak.


Happy Independence Day



Aadat Hai uski

Mai Adat Hu Uski


Wo Jarurat Hai Meri.


Mai Farmaish Hu Uski


Wo Ibadat Hair Meri.


Inti Asani Se Kaise


Nikal Du Use Dil Se.


Mai Khwab Hu Uska


Wo Jarurat Hai Meri


Good Night :)

A letter To Director Examinations ICAP

A letter 2 Direct0r Examinations ICAP,
“Salam Sir Jee,
with due respect I beg to sy that I M,
Aaby Pehle To Ye Bata Ye Paper k0n Iblees Bnata Hai.?
Hmari to jan he nikal jati hy,
Uper se paper ki checking aise h0ti hy jaise badla le rhy h0,
Syllabus to aisa h0ta hy jaise sb Einstein hain…!
Tu Bahar Mil Zara,
Phir Bataon Gay
Yours Faithfully,
.
.
.
Pagal Hon Jo Naam Likhon”

Zulfe Che Makh Ta Lewanay Wonisi



Zulfe Che Makh Ta Lewanay Wonisi,
Sam Laka Tandar Che Spogmai Wonisi.


Pa Anango Ye Khwale Daase Khkari,
Parkha Che Gul Ghotai Ghotai Wonisi.


Laka Maaraan Ve Da Paaro Laaso Ke,
Daa Che Pa Gwoto Ke Kamsai Wonisi.


Khudaya Shekhan Ba Hom Tobe Maate Kri,
Saaqi Che Makhe Ta Pyalai Wonisi.


6 Me Ashna Baad Ta Zulfan Khwara Kri,
Khalaq Baadono Ta Jolai Wonisi.


IMDADA Zra Ba De Polai Polai Kri,
Che Darta Mre Starge Golai Wonisi.


Contact # 091-6514039



Hum Ne Kab Manga Tum Se Apni Wafaon Ka Sila?

Hum ne kab manga hai tum se apni wafaon ka sila?

Hum ne kab manga hai tum se apni wafaon ka sila??
Bas dard daite raha karo, Mohabbat bharti jaye gi...!

Saturday, May 26, 2012

Ye aur baat teri gali mein na aayen hum – Habib Jalib



Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ki shahar tera chod jayen hum
muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
aavaragi se dil ko kahan tak bachayen hum
shayad baqaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum
benur ho chuki hai bahut shahar ke faza
tarik raston mein kaheen kho na jayen hum
us ke bagair aj bahut jee udas hai
‘jalib’ chalo kaheen se use dhundh layen hum


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Habib Jalib



Main Shukar Kaise Ada Iss Karam Ka Karoon



Tere Karaam Ka Tassaduq Teri Aata Ky Nisaar
Main Kiya Tha Or Mujhe Kya Baana Diya Tu ne
Pehley Mujhe Kon Jantaa Tha Pehly Mujhe Koon Jantaa Tha
Ghaam-E-Ashqi Sy Pahly Mujhe Kon Janta Tha
Teri Zaat Ny Banaa Di Meri Zindgi Fasanaa
Main Shukar Kaise Ada Iss Karam Ka Karoon…!!!



Relations Are Not Examz

Relations are not examz to pass or fail
not competition to win or lose


Its a feeling in which you care for someone.

Friday, May 25, 2012

Best Funny and Sad GHAZAL

Best Funny and Sad GHAZAL


Ek Chadar ko Raah-e-Mehbub me Bicha dena,
Mai mar’jaun to Usey Mera Kafan bana dena.
Bohat Rouy’ga Mujhy dekh dekh kr Wo Shakhs.
Is liye dair na lagana Mujhy Jaldi Dafna dena.
Lagana Ek Poda Meri Qabar k Sirhanay.
Mery Yaar k Aansu usko pila dena.
Agar bohat Roye Meri Qabar py to.
Mujhy Nikaal kr Usey Dafna dena.. .


Or Kehna: . . Ley Tu mar’ja Manhoos, . .
Mrna b Haraam krdiya! 😀 ghor say purhnay ka shukria. =p

Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein



Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein


Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein


Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein


Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein


Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein


Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein


Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein



Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi He




Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi He


Teri Rah Mein Akhiyan Bichate Bichate



Teri Hasratoon Mein Teri Chahatoon Mein


Bare Din Hova Ghar Sjate Sajate



Yeh Dil Jab Se Ishq E Nabi Mein Para He


Na Din Ki Khabar He Na Shab Ka Pata He



Ab Tu Basarat Be Kam Ho Ga’ey He


Teri Gham Mein Aansu Bahate Bahate.


Happy Ramdan Month





Wednesday, May 23, 2012

Zakhm-E-Ummiid Bhar Gayaa Kab Kaa



Zakhm-E-Ummiid Bhar Gayaa Kab Kaa
Qais To Apne Ghar Gayaa Kab Kaa


Aap Ik Aur Niind Le Liijiye
Qaafilaa Kuuch Kar Gayaa Kab Kaa


Dukh Ka Lamhaa Azal Abad Lamhaa
Vaqt Ke Paar Utar Gayaa Kab Kaa

Apna Muunh Ab To Mat Dikhaoa Mujhe
Naasiho, Main Sudhar Gayaa Kab Kaa


Nasshaa Hone Kaa Be-Tarah Thaa Kabhi
Par Vo Zaalim Utar Gayaa Kab Kaa


Aap Ab Puuchney Ko Aaye Hain?
Dil Merii Jaan, Mar Gayaa Kab Kaa



YARAN KOLON YAAR ………….ITS MINE

YARAN KOLON YAR GAWACHY EK DOJY AZMAN LAI
AJ KAL TY PAI PAI PAINDY EK DOJY NO KHAAN LAI
CHUP KAR JA NAI TENO KISSY V AAN MANANA
OH BHULY SHAH SEE JINY KUNGRO BAN LY RUSYA YAR MANAN LAI


ITS MINE ……..WAQAS


Submit By: WAQAS(0923214092665)

हर ख़ुशी माना ज़माने तेरे अफ़साने में है



हर ख़ुशी माना ज़माने तेरे अफ़साने में है
वो मज़ा लेकिन कहाँ जो दिल के लुट जाने में है


बात करती है फक़त दुनिया वफ़ा में मिटने की
दम अगर जलने का है तो सिर्फ़ परवाने में है


चीर कर तूफां चला वो पाने अपने प्यार को
देखते हैं आज कितना जोश दीवाने में है


शमअ कहती है बचा ले ख़ाक खुद को होने से
और परवाना कहे क्या लुत्फ़ जल जाने में है


एक सच है बांधना होगा जिसे पल्ले “विजय”
हार है चुप बैठने पर जीत लड़ जाने में है



Pathan to Doctor

pathan: Dr. sahb 2 saal pehle mujhe bukhar hua tha


Dr:tu ab kiya hua?


Pathan:yahan se guzar raha tha socha poch lon k


ap ne Nahane ko mana kia tha, ab naha Lon?


From: Umer (03437774802)

Dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main – Jigar Moradabadi



Dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main
kitna hasin gunah kiye ja raha hun main
duniya-e-dil tabah kiye ja raha hun main
sarf-e-nigah-o-ah kiye ja raha hun main
fard-e-amal siyah kiye ja raha hun main
rahamat ko bepanah kiye ja raha hun main


aisi bhi ik nigah kiye ja raha hun main
zarron ko mahar-o-mah kiye ja raha hun main
mujh se lage hain ishq ke azamat ko char chand
khud husn ko gavah kiye ja raha hun main
masumi-e-jamal ko bhi jis pe rashk ho
aise bhi kuch gunah kiye ja raha hun main
aage qadam badhayen jinhen sujhata nahi
raushan chirag-e-rah kiye ja raha hun main
tanaqid-e-husn maslahat-e-khas-e-ishq hai
ye jurm gah-gah kiye ja raha hun main
gulashanparast hun mujhe gul hi nahi aziz
kanton se hi nibhah kiye ja raha hun main
yun zindagi guzar raha hun tere bagair
jaise koi gunah kiye ja raha hun main
mujh se ada hua hai ‘jigar’ justaju ka haq
har zarre ko gavah kiye ja raha hun main


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



Happy Quaid Day






Happy Quaid Day
Salam
Aye Quaid !
Tare Baad Bhi Guzre Hyn Kuch Log ,
Magar Teri Khushbu Na Gai Raah-Guzar Se . . .!
Happy Quaid Day..



Duniya Kisi Ke Pyaar Mein



Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Zannat Se Kam Nahin
Ek Dilruba Hai Dil Mein Jo Phoolon Se Kam Nahin


Duniya Kisi Ke Pyaar Mein…
Tum Baadshaah-E-Husn Ho Husn-E-Jaahan Ho


Jaan-E-Bafa Ho Aur Mohabbat Ki Shaan Ho
Jalwein Tumhare Husn Ke Taaron Se Kam Nahin


Duniya Kisi Ke Pyaar Mein…
Bhule Se Muskuraaon Tou Moti Baarash Pade

Palke Utha Ke Dekhon Tou Kaliya Bhi Hash Pade
Khushbu Tumhari Julf Ki Phoolon Se Kam Nahin


Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Zannat Se Kam Nahin
Ek Dilruba Hai Dil Mein Jo Phoolon Se Kam Nahin


Duniya Kisi Ke Pyaar Mein…



Achay lagte ho

Tm mosam mosam lgty ho,
Jo pl pl rang badlty ho,
Tum sawn sawn lgty ho,
Jo sadion baad brsty ho,
Tum spna spna lgty ho,
Jo mjhko km km dikhty ho,
Tum pl pl mjh sy lrty ho,
Pr phr bhe achy lagty ho,
Baat to hai shrmili c Pr kehny ko dil chahta hai
Lo aj tmhn yh keh diya Tum apny apny lgty ho


Ik baat kahon agar suntay ho tum muj ko achay lagte ho.

Tuesday, May 22, 2012

Chalta Rehne do Ghalib

Chalta Rehne do Ghalib! Silsila Dil’dari ka,
Ishq Deen nahi hai k Mukmmal ho jaye….

Close your eyes

You can close your eyes to the things you do not want to see,
but you cannot close your heart to the things you do not want to feel.

Tere daman ke hawa mangate hain – Sagar Siddiqui



Tere daman ke hawa mangate hain
hum bhi jine ke dua mangate hain
mutribo koi achuta nagma
saz aahang-o-sada mangate hain
mah-o-anjum ke jharoke aksar
kisi ke aariz ke dua mangate hain
phir patangon mein khudai jagi
shole hashr-numa mangate hain
banda-paravar koi khairat nahi
hum vafaon ka sila mangate hain
maikada ho ke kalisa “sagar”
sari duniya ka bhala mangate hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui



Monday, May 21, 2012

My Best Wishes For U On Ramadan

May the festival of lights be the harbinger
of joy and prosperity. As the holy occasion of
Ramadan is here and the atmosphere is
filled with the spirit of mirth and love,
here is hoping this festival of beauty brings
your way, bright sparkles of contentment,
that stay with you through the days ahead.


My Best wishes for u on Ramadan

English Silent Film

Teacher to Pathan:- Which Was 1st English Silent Film ? Pathan:- If d Film Was Silent, How Could u Know It Was in English?


Teacher shocks


Pathan rocks:)

Stupid Girl and Teacher

Lady Teacher: Zero mein 1 dalain to kia hota hai?


Girl: Chup rahi !!


Teacher: GUSSE se jawab do Zero me 1 dalian to


kia hota hai?


Girl: Bohat DARD hota hai..

Meri Ankhon se kabhi utro dil mein



Meri Ankhon se kabhi utro dil mein,
Ke main dharkan mein Basa lon tumko,


Jaan se b barh kr chahun tumhen,
Apni zindgi hi Bana lon tumko,


Mere khuwabon mein Sirf tum hi baso,
Apni Neendon mein saja lon tumko ,


Logon ki bheer mein
kho na jana kahin,


Zamane se hi main
chura lon tum ko


Submitted by : mustahsan khetran



Sunday, May 20, 2012

Ghazal Wafa soch ker kerna

~Be-His hain yahan log wafa soch k karna,
Hum jaisay wafadaron ko khafa soch k karna,


~Gul shakh se bichry to kahin ka nahi rahta,
Tum zaat meri khud se juda soch k karna..


~Ik bar jo rothy to mana tum na sako gay,
Be lous fakiron se jafa soch k karna.


~Ro,o gy bohut hum se bichr kr “Aye dost”,
Ye ishq k sajdy hein kaza soch k karna…

Tussi Mere Naal Pyar

Tussi mere naal pyar nai krdy.


Punjabi ne 17 Bachon ki taraf ishara kiya aur bola:


Te Aa Fer Main NET To Download Keety Ny 😛

Kaise manun ki zamane ke khabar rakhati hai – Tahir Faraz



Kaise manun ki zamane ke khabar rakhati hai
gardish-e-vaqt to sirf apni khabar rakhati hai
meri pairon ke thakan tum ruth na jana mujh ko
ek tu hi to mera raz-e-safar rakhati hai
dosti teri darakhton mein havayen bhi nahi
dushmani apne darakhton mein samar rakhati hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Tahir Faraz



Har Gham Ko Khushi

Har gham ko khushi me badalti hai dosti,
Har ansu ko hasi mey badalti hai dosti,
Kuch log samajh nahi patey ke,
Andheri raat ka diya hai dosti..

Saturday, May 19, 2012

Dukh dard ke saugat hai duniya teri kya hai – Sagar Siddiqui



Dukh dard ke saugat hai duniya teri kya hai
ashkon se bhari raat hai duniya teri kya hai
kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain
tarik si ik raat hai duniya teri kya hai
paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi
ik jaziya-e-lamhat hai duniya teri kya hai
taqadir ke chehare ke shikan dekh raha hun
aaina-e-halat hai duniya teri kya hai
majaruh-e-taqaddus hai taqaddus ke haqiqat
rudad-e-kharabat hai duniya teri kya hai
“sagar” mein chalakate hain samavat ke isarar
saqi ke karamat hai duniya teri kya hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui



Sidhi Baat No Bakwas

Aunty: Beta Mummy ghar pe hain kya??


Bacha Sprite Peete Hue: Apki SETTING to papa se hai na, Papa Ghar Pe Hi hain.


Sidhi Baat No Bakwas!!


Oops tofaNi baCha thA …..

Friday, May 18, 2012

Sardi Ki Dhoop Main



Sardi Ki Dhoop Main, Gun Gun, Man Mera Gaaye
Ajj Aa Ja Sanam Kahin Se, Bahon Mai Lo Mujhe Chupaye


Madhoshi Is Sard Dhoop Main, Man Main Agan Lagaye
Aise Main Aa Ja Sanam, Dil Ko Kahin Chain Na Aaye


Meethi Meethi Ninia Main, Dhadkan Behaki Jaaye
De Kar Sanso Ki Apni Garmi, Le Mohe Ajj Bachaye


Adh-Khule In Naino Main, Ek Teri Tasveer Hu Sajaye
Aa Kar Kar De Poori Mujhko, Adhurepan Main, Man Ghabraye


Sardi Ki Dhoop Main, Gun Gun, Man Mera Gaaye
Ajj Ja Sanam Kahin Se, Bahon Mai Lo Mujhe Chupaye



Thursday, May 17, 2012

First class insult

FIRST CLASS INSULT
.
.
.
1 Amma Bus Wale ko Roz Kaju pista Khane ko deti ti


BusWala: Amma Ap mje roz y Q dti ho?
Amma:Beta Dant to rahe Ni, srf Chos kr Phenk Dena Achi bat Nai.,..

Itni Shiddat Aansuon Me Pehle Kabhi Na Thi

Itni Shiddat Aansuon Me Pehle Kabhi Na Thi

Dekha Apne Naseeb Ko To Sar-E-Aam Ro Diye...

Itni Shiddat Aansuon

Apni Yaadien Apni Baate Lekar

apni yaadein apni baate lekar jana bhul gaye,,
jane wale jaldi mai milkar jana bhul gaye,,
mur-mur kar dekha tha jaate raste mai usne,,
jese use kuch kehna tha jo wo kehna bhul gaye,,
waqt-e-rukhsat poch raha tha mere aansu apne aanchal se..
usko gham tha itna k wo khud rona bhul gaye.!!

Wednesday, May 16, 2012

Zindagi Bhar Udaas Rehna Hai

Zindagi Bhar Udaas Rehna Hai

Sochta Hun To Muskurata Hun...

Zindagi Bhar Udaas

Mausam Bhi Rangeen Lagne Laga



Aaj-Kal Mujhe Kuch Aisa Lagne Laga Hai,
Ki Mausam Bhi Ab Kuch Rangeen Lagne Laga Hai,


U To Bahti Hawa Bhi Ab Gaane Lagi Hai
Ghajab Ye Hai Ki ’Sehra’ Bhi Khilne Laga Hai



Mujhe Neend Aati Nahi Ab Magar
Mera Dil To Ab Gaane-Hasne Laga Hai


Kahne Ko Sab Kuch Wahi Ka Wahi Hai
Par Mujhe Har Ik Zarra Naya Lagne Hai


Mehfil Me Jab Ham, Kuch Gumsum Se Baithe
Dosto Ne Bhi Poocha Ki Tujhe Kya Hua Hai


Ab Kya Me Kahta, Or Ab Kya Unki Sunta
Kaise Batau Ki Mujhe Kya Hua Hai.


Share By : Diksha Mahajan



Wafa ke Umeedain

Doston Se Wafa Ki Ummeedain


Kiss Zamanay Ke Admi Ho Tum

Tuesday, May 15, 2012

Kuttay diya putra jeevan tu

Sardar da putar: Abba Main Suneya ay k Maa,pio nu vekhna sawab hunda
ee ?
Piyo: Kuttay deya putra jiven tu “luk luk” ke vekhna ain ovain Gunah
hunda ee..

Pagal Hone ka Tareeqa

Pagal hone ka tareeqa:
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
WA KIA BAT HAI Kina shoq a pagal hon da..

Maa Ki Mamta Ki Daolath



Naseeb Mein Tha, Maa Ki Mamta Ki Daolath
Tukhra Diya Tha Maine Us Daolath Ko
Aaj Us Daulat Ki Qimat Maloom Padi
Per
Bouth Der Ho Chuki
Sab Apni Maa Se Gale Miltey Hain
Kushi Kushi Se
Use Dekhti Hi Reh Jathi Hoon Mai
Aankon Mein Aanso Bharey…
Dil Tadap Uttha Hai
Aur Mujse Kehta Hai
Lo Tuje Yehi Saza Hai…



Monday, May 14, 2012

U r Looking so Beautiful

Girl to Girl.
U r looking so beautiful.
Girl: Thanx


Boy to Boy.
U r looking so beautiful.
Boy: rishta de dio fair nikki da. 😀

Apni Palkain Wo Band Rakhta Hai

Apni Palkain Wo Band Rakhta Hai
Jane Kesi Pasand Rakhta Hai

Khud Ko Kehta Hai Aasmaan Paiman
Itni Oonchi Kamand Rakhta Hai

Mara Jaye Ga Dekhna Aik Din
Kiun Dil-e-Dardmand Rakhta Hai

Sath Wale Khafaa Khataa Ye Hai
Kiun Iraaday Buland Rakhta Hai

Dhoop Se Saamna Na Ho Jaye
Ghar K Darwazay Band Rakhta Hai...

Apni Palkain Wo

Kuch Log Mujhe Apna Kaha Karte The

Kuch Log Mujhe Apna Kaha Karte The
Such Me Wo Log Sirf Kaha Karte The...

Kuch Log Mujhe

Care For The One Who Shares With U

Care for the one who shares with U,
Share with the one who knows U,
Know the one who misses U,
MISS the one who well wishes for U,
Wish u a very Good Luck!

Mehfil Mein Lakin

Mohabbat Karne Wale Kam Na Hon Ge


Teri Mehfil Mein Lakin Hum Na Honge….

Sunday, May 13, 2012

Barish Ki Ye Pehli Boondain



Barish Ki Ye Pehli Boondain
Kesa Jadu Kartee Hain
Dil Say Khoon K Katray Lay Kar
Meri Ankhain Bhartee Hain
Barish K Is Deebachay Say
Kitnay Manzar Khultay Hain
Khwab Sa Alum, Lehja Madham,
Aankhain Nam Nam, Bheega Mausam,
Pehli Barish,Pehli Khuwahish,


Pehla Jazba, Pehla Waada,
Pehli Khushbu, Pehla Aansoo,
Chup Chup Rehna
Soch Main Parna
Jo Bhee Kehna Tashna Kehna
Toota Fuqra, Aadha Jumlaa,
Jaltee Sansain, Thandi Aahian,
Bojhal Palkain, Saahir Aankhain
Dhani Jora, Sabz Dupatta,
Lambay Gaisoo, Qatil Khushboo
Ik Pehar Main
Ik Jag Beeta
Main Nay Tera Bazoo Thama
Wasal Ki Is Pehlee Barish Main
Kiya Kuch Khoya, Kiya Kuch Paya
Barish Ki Ye Pehli Boondain
Kesa Jadu Kartee Hain
Dil Say Khoon K Katray Lay Kar
Meri Ankhain Bhartee Hain
Barish K Is Deebachay Say
Kitnay Manzar Khultay Hain…!!!!!



Etc in examz

Y studentz sometimes write “etc” in examz???


Because it menz


E-End of


T-Thinking


C-Capacity


but teacher never ever understand studentz feeling…;)

Happy Eid Mubarak to your Family

Happy Eid Mubarik to you & your Family,
Stay Blessed with a lot of wishes !


Regards,
Admin /

Kya Rog De Gai Hai Ye Naye Mosam Ki

Kya Rog De Gai Hai Ye Naye Mosam Ki Barish

Mujhe Yaad Aa Rahe Hain Mujhe Bhool Jane Wale...

Kya Rog De Gai

Kis Ke Haq Mein Faisla Karon Zindagi Ka 'Any'

Kis Ke Haq Mein Faisla Karon Zindagi Ka 'Any'
Ik Taraf Aashiq Ki Mohabbat, Ik Taraf Hamsafar Ko Intezaar....

By: Any Zaffar

Pyar Ek Maa Ka Kurbani Hai

Pyar ek maa ka kurbani hai
Jo hakikat mei daya ki rani hai


Pyar uska khatm nhi hota
Zindagi chahei khatm ho jay


Maa ki mamta kbhi nhi marti
Zindagi chaheip moot pajaye


Maa kbhi bhi khta nhi karty
Tum chahe kit ni khtay kardalo


Apne bachcho ko ak maa he jo
Zindagi bhar duway dety hai


Maa ki mamta mile jhan me jise
Wo bade khush nasib hote hai


Jin ki kismat me maa nahi hoti
Wo bade bad nasib hote hai


Sari khushya jhan ki mil kar
Phir bhi wo gam gin hote hai


Un se ulfar karo jahan walo
Wo hi to dar asl me yatim hote hai!!!

Happy Raksha Bandhan Bhaiya



“Yes I Love You. You Are So Cute, Smart.
My Mother Also Likes You Very Much.
My Father Is Ready To Take Up Our Relationship Seriously.
So Please Don’t Say No To My Proposal.
Accept Me As Your Dearest,
Loveliest Younger Sister.
Happy Raksha Bandhan Bhaiya.”



Tujh Ko Manana

Sirf Ehsas-E-Nadamat, Aik Sajdah, or Chashm-E-Tarr,,


Aey KHUDA Tujh Ko Manana To Bohat Aasaan Hai!!..!!

Terei Tarah Tera Gham B Hmain

Terei Tarah Tera Gham B Hmain Maat De Gya
Aankhian Tu Dhanp Li Mgar Aansoo Na Chup Sake

Saturday, May 12, 2012

College Ki Ladki Se

Pathan:College Ki Ladki se Bola
I love U!
Ab Tum Mujhe Bolo
Girl:Mai Abhi Ja K sir Ko Bolti Hun
Pathan: pagal ki buchi sir Ko Mt Bol Unki Shadi Ho Gai hai.:

Sunao Eid Bahar-e-Chaman Ko Yaad Karo

Sunao Eid Bahar-e-Chaman Ko Yaad Karo,
Piyam-e-Ishq Ke Ek Sukhan Ko Yaad Karo,
Hajoom-e-Fursat Mile To Aehl-e-Watan,
Watan Se Door Kisi Be_Watan Ko Yaad Karo

Eid ul Adha 2013 Poetry

Mari Haseet Ka Andaza Tum Ya Jaan Kr Laga Lo

Mari Haseet Ka Andaza Tum Ya Jaan Kr Laga Lo,
Hum Kabi Un Ka Nai Hoty Jo Har Kesi Ka Ho Jayea...

Subah ke Haseen Manzar

Ye Subha ka Manzar bhi Qayamat ka Haseen hai
Takiya Hai kaheen, Zulf Kaheen, Khud wo Kaheen Hai

Friday, May 11, 2012

Happy Rainy Day

Enjoy lovely Mosam ‘   ‘   ‘   ‘    ‘
‘  ,  ‘  ,  ‘  , ‘  ,  ‘ __,_____/____ _/     ..;’;’;.,
,l__[]__,l__!   ,,)(,, –
Happy Rainy Day

Mujhe kch tm sy

Zarathehro…
” chalay jana”


Mujhe kch
tm sy kehna
hai”


zayada
waqt nhi
lun gi”


Zara si
baat krni
hai”


Na dukh
apnay sunanay
hain”


Na koi
faryad krni
hai”


Na ye
maloom krna
hai”


K ab
halaat kesay
hain”


Tumhare hmsafar
thay jo”


Tumhare
sath kesay
hain”


Na ye
maloom krna
hai”


Teray
din raat kesay
hain”


Mujhe bas
itna kahna
hai”


Mujhe tum
YAAD aatay
ho”


Boht hi YAAD aatay ho*****

Thursday, May 10, 2012

knowledge waala Msg

Aik bohat hi piyaara sa knowledge waala Msg..


Lafz “ALLAH”


K ALIF Ki Adaaegi Aml’e Tanafus Se Hoti Hy,


Jo Saans Ko Control Krta Hy..


Hurf LAAM Saans Lenay Me Asaani Peda Krta Hy..


Aakhri Hurf HAA K Ada Krny Se Phephrron Or Dil K Darmiyaan Aik Rabbt Peda Hota Hy,


Jo Dil Ki Dharrkan Ko Control Krta Hy..


“Beshak ALLAH PAK K Zikkar Se Hi Dilon ko SUKOON Milta Hy”

Dil ne wafa ke naam par kar-e-jafa nahi kiya – Jaun Eliya



Dil ne wafa ke naam par kar-e-jafa nahi kiya
khud ko halak kar liya khud ko fida nahi kiya
kaise kahen ke tujh ko bhi hum se hai vasta koi
tune to hum se aj tak koi gila nahi kiya
tu bhi kisi ke bab mein ahad-shikan ho galiban
main ne bhi ek shakhs ka qarz ada nahi kiya
jo bhi ho tum pe mautariz us ko yahi javab do
aap bahot sharif hain aap ne kya nahi kiya
jis ko bhi shekh-o-shah ne hukm-e-khuda diya qarar
hum ne nahi kiya wo kam han ba-khuda nahi kiya
nisbat-e-ilm hai bahot hakim-e-vaqt ko aziz
us ne to kar-e-jehl bhi be-ulama nahi kiya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jaun Eliya



Mohabbat ka Izhar

humse puchte hai log ke tum apni mohabbat ka izhar kyun nahi karte..


faraz


mene kaha ke jo lafzzo main bayan hojaye itna hum kisi se pyaar hi nahi karte

Hijr Ki Shab Hai Aur Ujaala Hai



Hijr Ki Shab Hai Aur Ujaala Hai
Kaya Tasawur Bhi Lutnay Waala Hai


Ghum To Hai Ain Zindagi Lekin
Ghum_Gusaaron Ne Maar Daala Hai


Ishq Majaboor-o-Naamuraad Sahe
Phir Bhi Zaalim Ka Bol Baala Hai

Dekh Ker Barq Ki Pareshaani
Aashiyaan Khud He Phoonk Daala Hai


Kitnay Ashkon Ko Kitani Aahon Ko
Ek Tabassum Mein Us Ne Dhaala Hai


Teri Baaton Ko Main Ne Aye Vaaiz
Ahtaraaman Hansi Mein Taala Hai


Maut Aaye To Din Phirein Shaayad
Zindagii Ne To Maar Daala Hai


Shair, Nazmein, Shaguftagi Masti
Ghum Ka Jo Roop Hai Niraala Hai


Lagzishein Muskurai Hain Kaya Kaya
Hosh Ne Jab Mujhy Sanbhaala Hai


Dam Andheray Mein Ghut Raha Hai Khumaar
Aur Chaaron Taraf Ujaala Hai….



Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar



Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar
K Yeh Dard Kitna Ajeeb Hy
Na Sakon-E-Dil, Na Qarar-E- Jan
Na Hi Neend Mujh Ko Naseeb Hy
Yeh Ajab Hy Qissa-E-Zindgi
Wo Mila To Rah-E-Hayat Main
Mujhay Wo Nashat-O-Khusi Mili
K Sakon, Farhat-O-Itminan
Mari Dharknon Main Sama Gay
Wo Jo Dard Ankh Main Qaid Thay
Maray Aansuon Main Naha Gay
Mujhay Har Qadam Pe Guma Hua
K Badal Rahi Hain Haqeeqtain
K Bikhar Rahi Hain Musaftain


Per Us K Bad Yeh Kya Howa
Wo Gya To Cheen Key Ley Gya
Mara Chain, Sabr-O-Qarar B
Mary Rahtien, Mari Chahtein
Mari Zindgi Ki Bahar B
Mara Likhna Aur Mara Sochna
Mara Husn, Mara Nikhar B
Main Ny Hasna Khailna Chor Kar
Issi Ghum Ko Dil Sy Laga Liya


Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar


K Ajab Hain Ishq K Mamlay
Na Hi Mari Basat Hy Iss Qarar
K Main Us Ko Dil Sy Nikal Kar
Kisi Aur Dar Ka Gada Banon
Na Yeh Taray Bass Ki Hi Bat Hey
K Maray Dard Ki Tu Dava Kary
K Maray Dard Ka Jo Ilag Hy
Tari Puhach Tari Basat Sy
Tari Sooch Sy B Hy Mawra


To Kahan Sy Lao Gy Dhond Kar
Maray Chain, Sabr-O-Qarar Ko
Tujhay Keh Rhaa Hon Main Chara Gar
Maray Zakham Pe Yeh Dava Na Rakh
Maray Dard Ki Yeh Dava Nhi
Main Mareez-E-Ishq Hon Iss Lyy
Mara Theek Hona Mahal Hy
Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar……!!!



Udas shayari



..Yun Tu Guftagoon Bohut Huwe Unse Phir Bhi


Silsila Kabhi Yeh Pyaar Tak Nahi Pohncha..





..Jaane Kaise Ho Gaya Waakif Tamaam Shehar


Daastan-e-Ishq Yun Tu Kabhi Akhbaar Tak Nahi Pohncha..





..Shartein Ek Dusare Ki Manzoor Thi Yun Tu


Par Masauda Hamara Kabhi Qaraar Tak Nahi Pohncha..





..Gahrayi Dosti Main Naapta Bhi Kaise


Rishta Hamara Kabhi Taqraar Tak Nahi Pohncha..





..Ana’a Meri Mujhe Izazat Nahi Deti


Faqat Isliye Zaidi Darbar Tak Nahi Pohncha….!


Koi gham nahi magar dil udas hai,
Tujh se koi rishta nahi phir bhi ek aas hai,


Kehne ko bohut apnay magar tu ek khas hai,
Zyada emotional na hona uper sub bakwa ha


Share with us more Udas shayari .in comments section below.



Wednesday, May 9, 2012

Twinkle Twinkle LAZY STAR

Twinkle Twinkle LAZY STAR
Kitna soyega Uth ja yar
Up above d world so high
Sun has risen in d sky
Uth k jaldi p le chaye
Then do SMS & sy me Hi.

Apni PYAR bhari AWAZ se bolana mujh ko

Apni KHAMOSH zindagi me bolana mujh ko,


apny HASEEN khuwab ki TASVEER banana mujh ko,


main jo POCHO tumhara HAAL-e-DIL,


to apni har DHARKAN ki AWAZ sunana mjh ko.


Main jo kabi ROOTH jao tm sy agar!


To bhot PYAR se manana mjh ko.


Jo kabi ho DIL me HASRAT tmhari koi.


Bila-jhijhak apni her HASRAT batana mjh ko,


jo ho jao ZINDAGI me TANHA kisi PAL!


Apni PYAR bhari AWAZ se bolana mujh ko!

Always With The Same Person

A successful marriage requires falling in love many times,
always with the same person.

Mere Ghar Ki Chhat Par

Mere Ghar Ki Chhat Par
Aagaye Hain Badal,


Wah wah wah..


Mere Ghar Ki Chhat Par
Aagaye Hain Badal,
.
.
.
Ye Message Faltoo Hai, Mat Parho Pagal!=P:)

Iss Naye Saal mein

Iss Naye Saal mein..
Jo tu chahe woh tera ho,
Har din khubsoorat aur ratain roshan ho,
Kamiyabi chumte rahe tere kadam hamesha yaar,
Naya Saal Mubarak ho tuje mere Yaar

funny pathan on bike

2 Pathan bike per ja rahay the


Police walay ne rok ker


kaha:


pata nai hai ke Double swari per pabandi hai


Pathan: pata hai isi liye to isko wapis chornay ja raha hon   😀

Very Happy Ramadan SMS



As The Mountain High,
U Move Without Sigh;
Like The White Linen Flair,
Purity Is Always An Affair;
As Sunshine Creates Morning Glory,
Fragrance Fills Years As Flory;
With The Immaculate Eternal Smile,
Attached To U Mile After Mile;
All Darkness Is Far Away,
As Light Is On Its Way;
Wish All Of U A Very Happy Ramadan



Tuesday, May 8, 2012

Dil K Aaeny Mein Tasveer Tumhari Hai

Dil K Aaeny Mein Tasveer Tumhari Hai
Ya Tasveer Hum Ko Jaan Sy Pyari Hai
Tum Sada Raho Aabad or Khush
Ya Tamna Aaj sy Humari Hai
Tum Sy Mil Kr Hi Seekhi Hai Muhabat Hum Ny
Tum Ny He Ya Zindage Sanwari Hai
Tumari Saanso Sy Bundi Bundi
Mere Jeewan Ki Doori Hai
Humare Leay he RAB Ny Ya
Suraat Aasman Sy Utari Hai
Tere Milny Sy Mila Maqsad-e-Hiyat Muj Ko
Aaj Tak To Zindage Hum Ny Raegaan Guzari Hai

Poem On Raksha Bandhan In English



Hey Sis,
When The World Goes Dark,
Stars Are There…
When The Journey Breaks Up,
Hope Is There…
When The Entire World Is Vanished,
And You Feel Left Alone…
Tilt Your Head And Look Beside You,
Will Bring You Comfort Feeling Of
Care And Affection Molds On You,
As Your Brother Is Always Beside You
To Pour The Special Love And Affection Forever…



Main Wahi Insaan Hoon



Main Wahi Insaan Hoon


Main Wahi Insaan Hoon …
Kal Tk Ju Sbko Hansna Sikhta Tha
Mushkilon Ka Sumna Krna Sikhta Tha
Ju Kehta Tha Chahat Mein Dhokha Na Deina
Bewafa Kehlaney Ka Mouka Na Deina
Aj Aapno Sy Dhokha Khye Beitha Hoon
Palkon Mein Aansoo Dabye Beitha Hoon
Ju Kaal Tk Tha Khushiyun Ka Chamaan
Aj Ghammon Sy Bhara Kabristan Hoon
Main Wohi Insaan Hoon….!!!



Apni Tanhai Mere Naam Pe



Apni Tanhai Mere Naam Pe Abaad Kare
Kaun Hoga Jo Mujhe Usski Tarah Yaad Kare


Dil Ajab Shehr Ke Jiss Per Bhi Khula Dar Iss Ka
Woh Musafir Issay Her Simt Se Barbad Kare

Apne Qatil Ki Zehanat Se Pareshan Hon Mein
Roz Eik Maut Naye Tarz Se Ejaad Kare


Salb-E-Benaai Ke Ehkaam Mile Hein Jo Kabhi
Roshni Choone Ki Khwahish Koi Shab-Zaad Kare


Soch Rakhna Bhi Jaraaim Mein Hai Shamil Abb Tou
Wahi Ma’soom Hai Her Baat Pe Jo Saad Kare


Jub Lahoo Bol Pare Iss Ke Gawahon Ke Khilaaf
Kaazi-E-Shehr Kuch Iss Baab Mein Irshaad Kare


Uss Ki Muthi Mein Bohot Roz Raha Mera Wajood
Mere Saahir Se Kaho Abb Mujhe Azaad Kare



2 Brilliant MindS

2 Brilliant MindS


Pathan & Sardar
Pani Peeny Gaey To GlasS Ulta Para Tha


Sardar
iSKa To Moo He Band Hy


Pathan
Neechy Sy Bhi Toota Hua Hy.

Kamyabi Aur Nikami

Kabi b Kamyabi ko dimagh me or nikami ko Dil me jaga na Dena


Q k kamyabi dimagh me takabbur or


Nakami Dil me mayusi peda kr deti hai


Hazart Ali (R.A)

Monday, May 7, 2012

Ishq Qaatil Se Bhi Maqtool Se Hamdardi Bhi

Ishq Qaatil Se Bhi, Maqtool Se Hamdardi Bhi

Ye Bata Kis Se Muhabbat Ki Jaza Mange Ga

Sajda Khaliq Ko Bhi, Iblees Se Yaraana Bhi

Hashr Me Kis Se Aqeedat Ka Sila Mange Ga...

Ishq Qaatil Se Bhi

English Poems



Is It Possible
That Someone Like You
Could Complete Me?

You're The Only One I Want
The Only One I Think About
The Only One I Truly Love

You've Treated Me Wrong Sometimes
As I've Done The Same
But Everyone Makes Mistakes
And Your Not One Of Mine

Be With Me For The Rest Of Time
I'll Give You My Heart
And You Give Me Your Mind


Our next generation

Global Warning: Our next generations may not be able to see polar bears and tigers!
.
.
.
.
To hum kya kren? Hum ne bi to dinosaur nhi dekhy. Kbi shikayat ki? 😛

Sunday, May 6, 2012

Duniya mein hun duniya ka talabgar nahi hun – Akbar Allahabadi



Duniya mein hun duniya ka talabgar nahi hun
bazar se guzra hun kharidar nahi hun
zinda hun magar zist ke lazzat nahi baqi
har chand ki hun hosh mein hoshiyar nahi hun
is khana-e-hasti se guzar jaunga belaus
saya hun faqat naqsh-e-divar nahi hun
afasurda hun ibarat se dawa ke nahi hajat
gham ka mujhe ye zauf hai bimar nahi hun
wo gul hun khizan ne jise barbad kiya hai
uljhun kisi daman se main wo khar nahi hun
yarab mujhe mahafus rakh us but ke sitam se
main us ke inayat ka talabgar nahi hun
afasurdagi-o-jaur ke kuch had nahi “akbar”
kafir ke muqabil mein bhi dindar nahi hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akbar Allahabadi



Kitaab-e-Taqdeer Se Kya Shikwa Aye

Kitaab-e-Taqdeer Se Kya Shikwa Aye Dil-e-Nadaan,
Jab Hr Shay Ne Mitt Jana Hai To Khawahishain Kesi...

Kitaab-e-Taqdeer Se Kya Shikwa Aye Dil

Sacha Chahne Wala

Ek Sacha Chahne Wala


ApSe Hr Tarah Ki Baate Share Karta H Magar
.
.
.
.
.
.
.
Dhokha Dene Wala Sirf Apko Achi


Lagne Wali Hi Baate Karta H..

What is True Love?

Once IN a Seminar, A Question WAS Asked…!
What is True Love?
Appreciated Answer WAS
“Only ALLAH & A Mother Knows The Exact Answer”.
Gud morning.

faqeer funny jokes

Faqeer: ALLAh k nam par ek rupiya do


Dokandar: Baba kal ana ,


Faqeer: Es kal kal ke chakar me


Es Market me mere Lakhon rupay phanse howe hain :8

Saturday, May 5, 2012

Ay Dosto Suno Fryad

Ay dosto suno fryad meri!
Kabi dunya thi abad meri,
Mein prem nagar ka basi tha,
Or pyar ka itna aadi tha,
K sans b pyar sy chalti thi,
Dharkan b geet sunati thi,
Na khana peena ishq siwa,
Na chalna phirna ishq bina,
Jeevan mein hr su rang hi rang,
hr pal mein jeeny ki trang,
Phr sapna mera toot gya!
Wo dais b mujsy choot gya,
Ab mara mara ghoomta hu,
Jeeny ka sahara dhoundta hu,
Ay dost agar tum sath chalo,
Kisi mor py mujsy aan milo,
Is banjr zameen ko shadab kare,
Wo dais yahen abad karen.


From: Qamar Saghir

Friday, May 4, 2012

Daddy Internet Laga Dein



Daddy Internet Laga Dein


Dil Ka Connection Miladein
Daddy Internet Laga Dein
Mujhe Aaya Mail Dostoun Ka
Kab Lagay Ga Itna Bata Dein


Homework Pura Hota Nahi
Raat Ko Mein Sota Nahi
Jab Mood Ho Parhai Ka
Homework Koi Hota Nahi.


Net Bhi Hai Kamaal Cheez
Bas Aati Ho Agar Chalani Keys
Waisay To Bohot Hai Kaam Is Kay
Par Chatting Pe Lagti Nahi Fees.


Aap Kehte Hain Mein Shor Machaon Ga
Try Karo Mein Naraz Na Kar Paon Ga
Mein God Promise Karta Hun
Net Aap Ke Saunay Ke Baad Lagaun Ga.


Saheli Nahi MeriHaan Dost Hi Hotay Hain
Who Saray Ke Saray School Mein Hi Sotay Hain
Raat To Guzarti Hai Net Par Typing Kartay
Subha Bhi Chat Room Mein Hi Hotay Hain.


Ladkian Bhi Kamaal Hoti Hain
Ghar Pe Apni Misaal Hoti Hain
Saara Kaam Khatam Karkay
Das Bajay Saday Naal Hoti Hain.


Ab To Mujhe Internet Lagadein
Meri Bhi Mauj Karadein
Mein Bhi Dhondta Hun Cyber Bahoo
Daddy Internet Laga Dein



DeDiicate To All GirLs

DeDiicate to all girLs
The sweetest sentence by
a girl for her boy….
i m jealous of the people who
ever hugged you
Because…
For a moment they hold my
world…… (^.^)

Ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi



ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi
marmari taron bhari raton mein kya hota nahi
jee mein aata hai ulat den un ki chehare se naqab
hausla karte hain lekin hausla hota nahi
shama jis ki aabaru par jan de de jhum kar
wo patanga jal to jata hai fana hota nahi


Poet of the poem/ghazal or Nazam:  Sagar Siddiqui



Thursday, May 3, 2012

aayi na phir nazar kaheen jane kidhar gai – Baqi Siddiqui



aayi na phir nazar kaheen jane kidhar gai
un tak to sath gardish-e-sham-o-sahar gai


kuch itna besabat tha har jalva-e-hayat
laut aayi zakhm kha ke jidhar bhi nazar gai


aa dekh mujh se ruthane vale tere bagair
din bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gai


nadim hai apne apne qarinon pe har nazar
duniya lahu uchal ke kitani nikhar gai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Baqi Siddiqui



Ankhon k Darwazey

Ankhon k darwazey pe neend kab ki behti hai


>>>>>


Bas intezar hai tere kehney ka k so jao,Hum khuwab main aa k milte hain,,,,,,,,,,,,,,,,,,,////

Yeh Aankhen Bohat Satati Hain



Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
Yaadon Ke Khuwaab Dikhati Hain
Mujhe Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
Palkon Ke Dareeche Kholti Hain
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain
Bas Apni Baat Manwati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Ek Aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Ruswayi Se Darrti Hain
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
Thak Haar Ke Wapis Aati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke Se Kahin Lad Jaati Hai
Phir Khuwabon Se Bhar Jaati Hai
Jab Toote Shor Machati Hai
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hai
Kyu Pyaar Kiya Pachtati Hai
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain



Burqay wali ko

Larka (burqay wali ko cherty huy)


Jahan sabzi wahan Dalda
kesi ho meri Khalida


Burqay wali: Ghor sy dekh manhoos
na dalda na khalida main hon teri Walda.:-)

Wednesday, May 2, 2012

Azmat-e-zindagi ko bech diya



azmat-e-zindagi ko bech diya
hum ne apani khushi ko bech diya
chashm-e-saqi ke ik ishare pe
umr ke tishnagi ko bech diya
rind jam-o-subu pe hanste hain
shaikh ne bandagi ko bech diya
rahguzaron pe lut gai radha
sham ne bansuri ko bech diya
jagamagate hain vahashaton ke dayar
aql ne aadmi ko bech diya
lab-o-rukhsar ke ivaz hum ne
sitvat-e-khusravi ko bech diya
ishq beharupiya hai ae ‘sagar’
aap ne sadagi ko bech diya


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Sagar Siddiqui



Colour of Frequency

What is the Colour of Frequency?


Ans: Purple


How?


Frequency=1/time


means 1/sec


1sec = Ek Pal
1/Pal= Per Pal


Per Pal= PURPLE..!


PHYSICS hila kar rakhdi. :-)

Shetani Sifat Hai

“TAKABBUR”


Shetani Sifat Hai


AgarTum Apne”TAKABBUR” Ko Torna Chahte Ho


To Kisi Gharib


Or Muflis Ko “SALAM” kiya Karo.


Hazrat ALI (A.S) *GOODMORNG*

Tu Hi Bata Kahan Se Dhoond Kar Laon Ab Apny Aap Ko?

Tu Hi Bata Kahan Se Dhoond Kar Laon Ab Apny Aap Ko?
Tujhe Pany Ke Liye Mein Ne Khud Ko Hi Kho Diya Hai....

Tuesday, May 1, 2012

Zindagi Farz Hai To Nibha Rahe Hain

Zindagi Farz Hai To Nibha Rahe Hain
Nafal Hoti To Kab Ka Chor Dete...

Submitted By: Misha Ch

Kash Makash Musalsal

Uljha Rahi Hai Mujh Ko,Yehi Kash Makash Musalsal


Wo Aa Basa Hai Mujh Mei, Ya Mai Us Mei Kho Gaya Hoon

Hhindustan shayari hindi



AJEEB SI DASTAN HAI, YAHA HAR KOI ANJAAN HAI
RAJ THAKRE NE LAGA DI AAG PAR JALA TO INSAN HAI
UTHAYI UNGLI SARDAR PE TO KISI NE BAPU KO KHICHA
UNKA KYA KAROGE JIS KE GHAR SE GAYI JAAN HAI


KISI NE KAHA JAWAB DEGE GOLI SE GOLI KA
KYA YAHI HUMARE “RASHTRA” KA SAMMAN HAI
KOI DIYA AAHUTI JIWAN KA AUR BANA MAHAN HAI
LALOO NE KAHA ISTIFA DO AUR NITISH KA BHI YAHI BAYAN HAI


KOI KAHTA HAI KI KARTE HUM DESH KA NIRMAN HAI
KOI KURSI KE KHATIR BADALTA APNA BAYAN HAI
KOI KAHTA YE HINDU HAI TO KOI YE MUSALMAN HAI
KYA YAHI DESH HAI JISEY KAHTE HUM MAHAN HAIN?


KYA YAHI HINDUSTAN HAI? KYA YAHI HINDUSTAN HAI?
JIS PAR GARV HAR KISI KA AUR HUMARA SAMMAN HAI
KYA YAHI HINDUSTAN HAI? KYA YAHI HINDUSTAN HAI?



Labon tak mere jan

Ik meri jan Hai kh Labon tak a pahnchi hai


Ik to hai kh abi tak agr magr pe Hai

Itna Khaif Hun Me Is Daur K Hungamon - Mohsin Naqvi

Itna Khaif Hun Me Is Daur K Hungamon Se
Ab Hawa Saans Bhi Leti Hai To Dar Jata Hun...

Itna Khaif Hun

Marne Ko Jai Bharat



Main Desh Ki Khatir Apni Jaan Gawau Kyun?
Marne Ko Jai Bharat Main Chillau Kyun?


Jisse Khud Ka Tan Ho Ghayal,
Main Aise Bhi Teer Chalaun Kyun?


Jab Badan Numaesh Hai Faishon,
To Ghar Mein Parde Latkau Kyun?


En Bhukho Nango Ki Duniya Mein,
Mein Bhi Vikshit Kahlau Kyun?


Jab Izzat Hi Lute Maa Bahino Ki,
Uss Dharti Ke Gunn Gau Kyun?


HUMRAAH Mare Jinse Lakhon,
Phir Aise Aslaah Banu Kyun??



Zindagani K Safar Me Gardishon Ki Dhoop

Zindagani K Safar Me Gardishon Ki Dhoop Me
Jab Koi Saya Nahi Milta To Yaad Ati Hai Maa...

Zindagani K Safar