Hijr Ki Shab Hai Aur Ujaala Hai
Kaya Tasawur Bhi Lutnay Waala Hai
Ghum To Hai Ain Zindagi Lekin
Ghum_Gusaaron Ne Maar Daala Hai
Ishq Majaboor-o-Naamuraad Sahe
Phir Bhi Zaalim Ka Bol Baala Hai
Dekh Ker Barq Ki Pareshaani
Aashiyaan Khud He Phoonk Daala Hai
Kitnay Ashkon Ko Kitani Aahon Ko
Ek Tabassum Mein Us Ne Dhaala Hai
Teri Baaton Ko Main Ne Aye Vaaiz
Ahtaraaman Hansi Mein Taala Hai
Maut Aaye To Din Phirein Shaayad
Zindagii Ne To Maar Daala Hai
Shair, Nazmein, Shaguftagi Masti
Ghum Ka Jo Roop Hai Niraala Hai
Lagzishein Muskurai Hain Kaya Kaya
Hosh Ne Jab Mujhy Sanbhaala Hai
Dam Andheray Mein Ghut Raha Hai Khumaar
Aur Chaaron Taraf Ujaala Hai….
No comments:
Post a Comment