aayi na phir nazar kaheen jane kidhar gai
un tak to sath gardish-e-sham-o-sahar gai
kuch itna besabat tha har jalva-e-hayat
laut aayi zakhm kha ke jidhar bhi nazar gai
aa dekh mujh se ruthane vale tere bagair
din bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gai
nadim hai apne apne qarinon pe har nazar
duniya lahu uchal ke kitani nikhar gai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Baqi Siddiqui
No comments:
Post a Comment