Sunday, May 6, 2012

Duniya mein hun duniya ka talabgar nahi hun – Akbar Allahabadi



Duniya mein hun duniya ka talabgar nahi hun
bazar se guzra hun kharidar nahi hun
zinda hun magar zist ke lazzat nahi baqi
har chand ki hun hosh mein hoshiyar nahi hun
is khana-e-hasti se guzar jaunga belaus
saya hun faqat naqsh-e-divar nahi hun
afasurda hun ibarat se dawa ke nahi hajat
gham ka mujhe ye zauf hai bimar nahi hun
wo gul hun khizan ne jise barbad kiya hai
uljhun kisi daman se main wo khar nahi hun
yarab mujhe mahafus rakh us but ke sitam se
main us ke inayat ka talabgar nahi hun
afasurdagi-o-jaur ke kuch had nahi “akbar”
kafir ke muqabil mein bhi dindar nahi hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akbar Allahabadi



No comments:

Post a Comment