Subah Bas Aane Ko Hai
Bass Chand Kadam Tu Aur Chal Ab
Teri Aahaton Se Darrkar
Dekh Raat Jaane Ko Hai
Toh Nazar Utha Aur Dekh Gagan Ko
Kyonki Subah Bass Aane Ko Hai
Kar Buland Apni Aawaaz Tu
Cheer Kaleja Andhere Ka
Himmat Ko Bandh Aankhon Se Apni
Or Kar Deedaar Sawere Ka
Jeetega Har Bazee Ab Tu
Har Daawn Jo Ab Lagane Ko Hai
Toh Nazar Utha Aur Dekh Gagan Ko
Kyonki Subah Bass Aane Ko Hai
Waqt Ki Gehraayion Ko Dekar Maat
Palti Hai Tune Apni Kismat Ki Bisaat
Kaayar Nahi Tu,Kamzor Nahi Tu
Bataana Tujhe Yeh Zamaane Ko Hai
Toh Nazar Utha Or Dekh Gagan Ko
Kyonki Subah Bass Aane Ko Hai
Hunkaar Bhar Apni Saason Me
Fir Utha Samandar Me Tu Aaj Zalzale
Raakh Na Hone De Lahu Ko Apne
Jab Talak Seene Me Toofaan Jale
Gaad Pataaka Vijay Ki Un Lamho Pe
Jo Aaye Tujhe Aazmane Ko Hain
Toh Nazar Utha Or Dekh Gagan Ko
Kyonki Subah Bass Aane Ko Ha
No comments:
Post a Comment