Thursday, March 8, 2012

haye kin ganimon se aa pada hai ran mera -Abdullah Kamaal



us ke jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera
us ke band mutthi mein sara bankpan mera
aao aj hum donon apna apna ghar chun lain
tum tabah-e-dil le lo khitta-e-badan mera
main ne apne chehare pe sab hunar sajaye the
fash kar gaya mujh ko sada pairahan mera
dil bhi kho gaya shayad shahar ke surabon mein
ab meri tarah se hai dard bevatan mera
ek dasht-e-khamoshi ab hmera muqaddar hai
yaad besada teri zakhm bechaman mera
roz apni aankhon ke khwab khoon karta hun
haye kin ganimon se aa pada hai ran mera
magrabi hawa ne phir ye sandesha bheja hai
muntazir tumhara hai khushbuon ka ban mera


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Abdullah Kamaal



No comments:

Post a Comment