Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya
Khaak main meri hasthi mila kar gaya
Pyaas jiski sada mai bhujatha raha
Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya
Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Teer woh bhi jigar per chala kar gaya
Doondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya
Mangta tha sahara jo herdam mujhe
Besahara mujhe wo bana kar gaya
Neend aagosh main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya
Aarzoo thi “Yaaro” kisii ki mujhe,
Kwaab mere wahi to mita kar gaya
Roy
Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai…
Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai…
Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai…
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai.
Dasht-e-Wafa Men Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha,
Dekha To Aik Dard Ka Darya qareeb Tha.
Guzray Jidhar Jidhar Se Tamanna Ke Qaafilay,
Har Har Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha.
Kuch Aisi Meharban To Na Thi Hum Pe Zindagi,
Kyun Har Koi Jahan Mein Hamara Raqeeb Tha?
Kya Kya Lahu Se Apne Kiya Hum Ne SurKharoo,
Us Door K Nagar Ko Jo Dil K Kareeb Tha.
Apna Pata Tou usne Diya Tha Mujhay “QATEEL”
Me Khud Hi Kho Gaya To Ye Mera Naseeb Tha.
Share with us more Mujhe neend ki aagosh me poetry in Comments Section below.
No comments:
Post a Comment