Sunday, March 18, 2012

Cheharon ke dhup aankhon ke geharai le gaya



cheharon ke dhup aankhon ke geharai le gaya
aaina sare shahar ke binai le gaya


dube huye jahaz pe kya tabsara karen
ye hadasa to soch ke geharai le gaya


halanki bezuban tha lekin ajib tha
jo shakhs mujh se chin ke goyai le gaya


is waqt to main ghar se nikalne na paunga
bas ek kamiz thi jo mera bhai le gaya


jhute qaside likhe gaye us ke shan mein
jo motiyon se chin ke sachai le gaya


yadon ke ek bhid mere sath chod kar
kya jane wo kahan meri tanhai le gaya


ab asad tumhare liye kuch nahi raha
galiyon ke sare sang to saudai le gaya


ab to khud apani sansen bhi lagati hain bojh si
umron ka dev sari tavanai le gaya


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Rahat Indori



No comments:

Post a Comment