Sare jahan se acha hindustan hamara
hum bulbulen hain is ke ye gulistan hamara
note: while the books i have quote the last line
as “gulistan hamara”, i have always heard
the song sung as “gulsitan hamara”
gurbat mein hon agar hum rehta hai dil vatan mein
samajho waheen hamen bhi dil ho jahan hamara
parvat wo sab se uncha hamsaya aasman ka
wo santari hamara wo pasaban hamara
godi mein khelati hain is ke hazaron nadiyan
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janan hamara
ae aab-e-rud-e-ganga wo din hai yaad tujh ko
utara tere kinare jab karavan hamara
mazhab nahi sikhata aapas mein bair rakhna
hindi hain hum vatan hai hindustan hamara
yunan -o-mishr-o-roma sab mit gaye jahan se
ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara
kuch baat hai ki hasti mitati nahi hamari
sadiyo raha hai duhman daur-e-zaman hamara
‘iqbal’ koi maharam apna nahi jahan mein
malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sir Mohammed Iqbal
No comments:
Post a Comment