Wednesday, October 12, 2011

Sakut-e-sham mitao bahut andhera hai – Firaq Gorakhpuri



Sakut-e-sham mitao bahut andhera hai
sukhan ke shama jalao bahut andhera hai
dayar-e-gam mein dil-e-beqarar chut gaya
sambhal ke dhudhane jao bahut andhera hai
ye raat wo ke sujhe jahan na hath ko hath
khayalo dur na jao bahut andhera hai
laton ko chehare pe dale wo so raha hai kaheen
zaya-e-rukh ko churao bahut andhera hai


havayen nim shabi hon ki chadar-e-anjum
naq aab rukh se uthao bahut andhera hai


shab-e-siyah mein gum ho gai hai rah-e-hayat
qadam sambhal ke uthao bahut andhera hai
guzashta ahd ke yadon ko phir karo taza
bujhe chirag jalao nahut andhera hai


thi ek uchakati hui neend zindagi usaki
‘firaq’ ko na jagao bahut andhera hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Firaq Gorakhpuri



No comments:

Post a Comment