Raaton Ko Uth Uth Kar Jinke Liye Rote Hain
Aa Jee Raaton Ko Uth Uth Kar jinke Liye Rote Hain
Wo Aapni Makanon Mein Aaram Se Sote Hain
Kuch Log Zamane Mein Aise Bhee Tou Hote Hain
Aa Jee Kuch Log Zamane Mein Aise Bhee Tou Hote Hain
Mehfil Mein Tou Hashte Hain Tanhaai Mein Rote Hain
Deewanon Ki Duniya Ka Aalam Hi Nirala Hain
Aa Jee Deewanon Ki Ka Aalam Hi Nirala Hain
Hashte Hain Tou Hashte Hain Rote Hain Tou Rote Hain
Kis Baat Ka Rona Hain Kis Baat Pe Rote Hain
Aa Jee Kis Baat Ka Rona Hain Kis Baat Pe Rote Hain
Kashti Ke Muhafeez Hi Kashti Ko Dubote Hain
Kuch Aise Deewane Hain Suraj Ko Pakadte Hain
Aa Jee Kuch Aise Deewane Hain Suraj Ko Pakadte Hain
Kuch Log Umr Sari Andhera Hi Dhote Hain
Jab Thesh Lagi Dil Par Tou Raaz Khula Ham Par
Aa Jee Jab Thesh Lagi Dil Par Tou Raaz Khula Ham Par
Wo Baat Nahin Karte Nashtar Se Chubhote Hain
Mere Dard Ke Tukde Hain Ye Sher Nahin “Sagar”
Aa Jee Mere Dard Ke Tukde Hain Ye Sher Nahin “Sagar”
Ham Saans Ke Dhagon Mein Zakhmon Ko Peerote Hain
Raaton Ko Uth Uth Kar Jinke Liye Rote Hain
Wo Aapni Shabistar Mein Aaram Se Sote Hain
Wo Aapni Shabistar Mein Aaram Se Sote Hain
No comments:
Post a Comment