Karen Hum Laakh Chahen Koshishen Lekin
Mohabbat Ho Hi Jati Hai
Hamari Zindgi Jo Rasta Hai Ek
Hamen Is Raah Per Chalte Hoye
Ye Mil Hi Jati Hai
Mohabbat Talkh Hoti Hai
Magar Her Hal Main Hum Ko
Mohabbat Ki Sabhi In Talkhioun Ko Jhelna Ho Ga
Mohabbat Jis Ko Hoti Hai
Ye Khod Us Ko Huner Apna Sikhati Hai
Nahin Aisa K Ye Koi Hawa Ka Ek Jhonka Hai
K Jo Deewar Se Takraye
Aur Wapis Chala Jayee
Ya Phir Aanchal Ko Cho Ker Hi Guzar Jayee
Mohabbat Jis Kisi K Naam Hoti Hai
Hamesha Phir Usi K Naam Rehti Hai
Nahin Phir Chorti Daman
Azal Se Abad Tak Saath Rehti Hai
Nibhana Perta Hai Is Ko
Ye Hum Per Farz Hoti Hai
Chukana Perta Hai Is Ko
Ye Hum Per Qarz Hoti Hai
Karen Hum Laakh Chahe Koshishen Lekin
Igahen Jis Qadar Chahe Hum Jhuka Ker Chalen
Phir B Kabhi Qadmon Ki Aahat Per
Kabhi Ik Muskurahat Per
Nazar To Uth Hi Jati Hai
Mohabbat Ho Hi Jati Hai
Monday, October 31, 2011
Karen Hum Laakh Chahen Koshishen Lekin
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment