Wednesday, July 13, 2011

Man mausam ka kaha, chai ghata, jam utha – Bashir Badr



man mausam ka kaha, chai ghata, jam utha
aag se aag bujha, phul khila, jam utha
pi mere yar tujhe apni qasam deta hun
bhool ja shikava-gila, hath mila, jam utha
hath mein jam jahan aaya muqaddar chamaka
sab badal jayega qismat ka likha jam utha
ek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisa
der kya karana yahan, hath bada, jam utha
pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan
maikade mein koi chota na bada, jam utha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Badr



No comments:

Post a Comment