aj jane ke zid na karo
yun hi pahalu mai baithe raho
haye! mar jayege, hum to lut jayege
aisi baten kiya na karo
tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthake jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itani meri man lo
waqt ke qaid mai zindagi hai magar
chand ghadiyan yahi hain jo aazad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho
kitana masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ke aj meraj hai
kal ki kisako khabar jane-jan
rok lo aj ke rat ko
gesuon ke shikan hai abhi shabanami
aur palakon ke saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi mai na rusva karo
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiyaz Hashmi
No comments:
Post a Comment