Sunday, July 17, 2011

chalo phir dhoond len

chalo phir dhoond len hum,
usi masoom bachpan ko,
Unhi masoom khushion ko,
Unhi rangeen lamhon ko,
Jahan gham ka pata na tha,
Jahan dukh ki samajh na thi,
Jahan bas muskurahat thi,
Baharen hi baharen thin,
Chalo phir dhoond len hum,
Usi masoom bachpan ko,
Ke jab saawan barasta tha,
Tou us kaaghaz ki kashti ko,
Banana aur phir duba dena, Bohat acha sa lagta tha,
Aur is duniya ka har chehra,
Bohat sacha sa lagta tha..

No comments:

Post a Comment