Saturday, July 9, 2011

Kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe – Nasir Kazmi



Kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe
guzar gai jaras-e-gul udas kar ke mujhe
main so raha tha kisi yaad ke shabistan mein
jaga ke chod gaye qafile sahar ke mujhe
main ro raha tha muqaddar ke sakht rahon mein
uda ke le gaya jadu teri nazar ka mujhe
main teri dard ke tugiyaniyon mein dub gaya
pukarate rahe tare ubhar ubhar ke mujhe
tere firaq ke raten kabhi na bhulengi
maze mile inhin raton mein umr bhar ke mujhe
zara si der thaharne de ae gam-e-duniya
bula raha hai koi bam se utar ke mujhe
phir aj aayi thi ik mauj-e-hava-e-tarab
suna gai hai fasane idhar-udhar ke mujhe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment