Sunday, April 3, 2011

Thakan to agale safar ke liye bahana tha – Iftikhar Arif



Thakan to agale safar ke liye bahana tha
use to yun bhi kisi aur simt jana tha
wohi chirag bujha jis ke lau qayamat thi
usi pe zarb padi jo shajar purana tha


mata-e-jan ka badal ek pal ke sarshari
suluk khwab ka aankhon se tazirana tha


wohi firaq ke baten wohi hikayat-e-vasl
nai kitab ka ek ek varaq purana tha


qaba-e-zard nigar-e-khizan pe sajati thi
tabhi to chal ka andaz khusrovana tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Arif



No comments:

Post a Comment