Teri Aankhon Main, Mere Dil Ka Nakhsa Ho Bhi Sakta Hai
Jise Deewar Samgha Hai Wuh, Wuh Rasta Ho Bhi Sakta Hai
Zamana Gour Se Daikhey, Jisey Is Ne Khuda Samjha Hai
Woh Is K Hath Ka Pather Tarasha Ho Bhi Sakta Hai
Nazur Se Door Re Ker Bhi, Kisi Soch Main Rehna
Kisi K Paas Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai
Woh Apni Sard Mehri Se, Mughey Hud Main To Rakhta Hai
Mera Hud Se Guzurney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai
Bhari Duniya Ka Meila Sath Ho To Koun Si Mushkil
Mager Aik Shakhs Meley Main Akela Ho Bhi Sakta Hai
Ye Seedhi Rah Per Chalna, Kahan Se Seekh Aye Ho
Ye Rasta Doosti Ka Hai, Ye Terra Ho Bhi Sakta Hai
Main Apney Jism O Jaan Ko Sath Rehtey Daikh Ker Samjha
Nibhana Ho Jisey Mushkil Woh Rishta Ho Bhi Sakta Hai
Uchalta, Thokarain Khata Howa Paani Ka Aik Dharaa
Tere Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai
Nikal Ker Bund Kamrey Se Zara Baazar Main Aao
Ager Tum Daikhna Chaho, Tamasha Ho Bhi Sakta Hai
No comments:
Post a Comment