Aankh Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Shaam K Bad
Laut Jata Hai Agar Koi Khafa Shaam K Bad
Wo Jo Tal Jati Rahi Sir Se Bala Shaam K Bad
Koi To Tha K Jo Deta Tha Dua Shaam K Bad
Aankhen Bharti Hain Shab-E-Hijr Yateemon Ki Tarha
Sard Ho Jati Hai Har Roz Hawa Shaam K Bad
Shaam Tak Qaid Raha Karte Hain Dil K Andar
Dard Ho Jate Hain Sare Hi Rehaa Shaam K Bad
Log Thak Haar K So Jate Hain Lekin Jana
Hum Ne Khush Ho K Tera Dard Saha Shaam K Bad
Chand Jab Ro K Sitaaron Se Galay Milta Hai
Ek Ajab Rang Ki Hoti Hai Fiza Shaam K Bad
Hum Ne Tanhai Se Pucha K Milo Gi Kab Tak
Us Ne Be-Chaini Se Foran Hi Kaha Shaam K Bad
Tum Gaye Ho To Siyah Rang K Kapre Pehne
Phirti Rehti Hai Mere Ghar Me Qaza Shaam K Bad
Maar Deta Hai Ujar Jane Ka Dohra Ehsaas
Kash Ho Koi Kisi Se Na Juda Shaam K Bad...
No comments:
Post a Comment