Thursday, April 14, 2011

Chand raat poetry



Gaye baras ki eid ka din kya acha tha,
chaand ko dekh ke uskaa chehra dekha tha


Fazaa mein cactus ke lehjey ki nermahat thi
mausam apne rang mein faiz ka missraah tha


Dua ke be-awaz, ulohi lamhon mein
woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha


Haath utha ker jab Aankhoon hi aankhon mein
us ne mujh ko apne Rab se mangaa tha


Phir mere chehre ko haathon mein le ker
kitney pyar se mera maatha chooma tha!


Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kya woh apni chat per aj akela tha?


Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne
chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?


Me hon tera kheal hai aur chand raat hai
Dil dard se nidhal hai aur chand raat hai
Ankhon me chob gaen teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shal hai aur chand raat hai
Dil toor k khamosh nizaron ka kia mila?
Shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai
Phir titliayan si orane lagen dashat khawab me
Phir khawaish-e-wasal hai aur chand raat hai
Campas ki nehar par hai tera hath hath me
Mosam bhi lazawal hai aur chand raat hai
Har ikk kali ne orah lia matami libas
Har phol par malal hai aur chand raat hai
Meri to por por me khoshbo si bus gai
Us par tera kheal hai aur chand raat hai
Chalka sa parh raha hai WASI wehshaton ka rang
Har cheez pe zawal hai aur chand raat hai


Share with us more .. chand raat poetry in comments section below




No comments:

Post a Comment