Monday, May 31, 2010

Zamana aj nahi dagamaga ke chalne ka – Jan Nissar Akhtar



Zamana aj nahi dagamaga ke chalne ka
sambhal bhi ja ki abhi waqt hai sambhalane ka
bahar aaye chali jaye phir chali aaye
magar ye dard ka mausam nahi badalne ka
ye thik hai ki sitaron pe ghum aaye hain
magar kise hai saliqa zamin pe chalne ka
phire hain raton ko aawara hum to dekha hai
gali gali mein saman chand ke nikalne ka
tamam nasha-e-hasti tamam kaif-e-vajud
wo ik lamha tere jism ke pighalne ka



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jan Nissar Akhtar



Raaste Kahan Khatam Hote Hain Zindagi K

Raaste Kahan Khatam Hote Hain Zindagi K Safar Main,
Manzil To Wohi Hai Jahan Khawahishen Tham Jaaen...

Raaste Kahan Khatam Hote

dosti shayari sms

Ay Rab apny pas meri ye amant rakhna


rahti duniya tak mera dost salamat rakhna


meri ankhon k saray deep buja dena magar


us ke ankon k saray khawab salamt rakhna

At the end

Everything will be okay in the end.


if it is not okay, then it is not the end

Samandar Mein Otar Ti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain



Samandar Mein Otar Ti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Na Jane Ho Gai Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Si
Kisi Se Baat Karti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Lekin Jab Bhi Hansti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain



Charsi Ke Bhang

1 charsi Bhang bana raha tha.
1 admi bola:
Yaar, dunya chaand pr pohnch gai or tum yahan bhang bana rahay ho.


Charsi:
Mei b ye pee k bas nikalney he wala hun.

Sunday, May 30, 2010

Janmashtami quotes hindi



Maakhan khave, Shor machave Gopiyo ke sang


Raas rachave
Murli bajake Mann


harKhave hai Natkhat Nand Gopal.
Wish U A very Happy Janmashtmi. Jai Shri Krishna.



Janma’ means birth and ‘ashtami’ means the eighth.


Janmashtami refers to the birth of Krishna,


which took place on the eighth day of the


second fortnight in the month of Sravana.


Celebrate the Birth of Krishna





May Lord Krishna’s flute invite the melody of love into yr life.
May Radhaji’s love teach not only how 2 love but 2 love eternaly.


Share with us more Janmashtami quotes hindi .in comments section below.



Misal-E-Sheesha Hain Humein Thaam K Rakhna

Misal-E-Sheesha Hain Humein Thaam K Rakhna

Hum Tere Hath Se Chootay To Bikhar Jaenge...

Misal-E-Sheesha Hain

Saturday, May 29, 2010

propsing a girl

New style of propsing a girl


.


.


.


.


.


.


.Aap k paon bohat khubsorat hain kiya yehi khobsurat paon merey bachon ki jannat ban saktey hain..!:-p hahaha.

Urdu Chand Raat Poetry

Dekhiyeh chand raat aai hai
sath khushian hazar laee hai


tum chaley aao aik lamhey ko
ham bhi manain ke eid aae hai


chaand bhia ya chand lamhon ko
jaisey tum ney jhalak dikhai hai


ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai


keh rahe hai hawa mujhy yasir!
us ne mehndi abhi lagaii hai

Mazahiya: Boy I love you Girl

Boy: I LOVE you
Girl: Tameez se bat ki jiye
Boy: Bismilla hirRahma NirRahim Noor-e-Jannat dil-ki-Dharkan Jan-e-Aziz kya aap hamari AMMI jaan KI Bahu banen gi.?

Friday, May 28, 2010

Guzre huwe waqt ki Yaadein

Saza Ban Jati hain Guzre huwe waqt ki Yaadein!
.
Najane Kyun Matlab ke Liye Mehrban hote Hain Log …

Jb Bhi Teri Deed Ka Imkan Rahega

Jb Bhi Teri deed ka imkan rahega,


Dil or pareshan pareshan rahega,


Chalo door reh kr khwabön me milte hen,


Milne ka yehi raasta aasan rahega.


Good Nite …

Tishnagi Jam Gai Pathar Ki Tarha Honton Par

Tishnagi Jam Gai Pathar Ki Tarha Honton Par
Doob Kar Bhi Tere Dariya Se Me Piyasa Nikla...

Tishnagi Jam Gai

Comments On Love

Nice Comments
For ” LOVE ”


Mohabat Aankh
Se Nahi DiL Se Dekhti Hai (Shakspear)


Jo Bar Bar
Mohabat Krte Hain
Wo Mohabat Krna Nahi Janty
(Ghalib)


Mohabat Wo Kheel Hai Jis Main Aqal Haar Jati Hai
(Hitler)


DiL Ki Hazar
Aankhen Hoti Hain
Magar Wo Mehboob
K Aib Ko Nahi Dekh Sakti
(BULLEY SHAH)


Muhabat mat karna kyun k main bhi muhabat ki wajah se badnaam howi hun
(MUNNI).

Taskeen Muhabbat K Faqat Do Hi Tareeqy

Taskeen Muhabbat K Faqat Do Hi Tareeqy Hain

Ya Dil Na Bana Hota Ya Tum Na Bane Hote...

Taskeen Muhabbat

Azaan-E-Husn Deti Hay

Azaan-E-Husn Deti Hay Tere RUKHSAAR Ki MASJID …!
Ijazat Ho Tou Honton Se Ek SAJDA PYAR Ka Ker Loon !!!

Kbi Pyar k jhagre

Kbi Pyar k jhagre


kbi Mohabat ki baatain,


Wohi aap hi k Qissay,


wohi aap hi ki baatain,


Wo mila hai mujh ko aksr


sar-e-rah chalte chalte


Wohi ajnabi nigahain,


wohi berukhi ki baatain


Na samaj saka jahan mai koi mera dard,


Mere gham ko log samjhe meri shairi ki baatain


Koi hum ko ye bataye ye junoon nhi to kya hai ?


Mile jab B hum kisi se karen aap hi ki baatein


Mere haal pe wo yunhi kuch aise muskuraya


Mai sun rha ho jese kisi ajnabi ki baatain.?

Dastan-E-Gham

Sun kr Tamam Rat Meri Dastan-E-Gham…..!


Wo Muskura k Bolay Bohat Bolte Ho TUm……!!

Husband Ki Talaashii Mein

Kisi mahapurush ne kaha hai-
.
ke
.
.
Ladkiyon ki aadhi zindagi-
.
.
husband ki Talaash me….
.
.
.
Aur baaki aadhi..
.
.
.
.
.
.


Husband ki Talaashii me guzar jati hai

Thursday, May 27, 2010

Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain



Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain
Sab Jantay To Hain
Kah
Nahi Roak Saktay
Sooraj Ki Kirnon Ko Chamknay Say
Sumandar Ki Lahron Ko Chalaknay Say
Phoolon Ki Khusboo Ko Mahaknay Say
Chand Ki Chandni Ko Phailnay Say
Saawan K Baadal Ko Barasnay Say
Phir Bhi
Naakam Si Koshish Kartay Hain
Sayed Wo Apnay Dil Ko Jhoti Tasali Dete Hain
Kah
Muhabat Ko Roak Lain Gay


Sab Jantay To Hain
Kah
Muhabat Nahi Ruk Sakti
Zinda Jalanay Say
Pahray Laganay Say
Khanjer Chalanay Say
Deewaron Main Chunwanay Say
Dunia Say Mitanay Say
Haan Mager
Ruk Bhi Sakti Thi
Ager
Muhabat Kisi Say Ki Jati
Mager Ye To Bus….
Ho Jati Hai


Sab Jantay To Hain
Kah
Aaj Tak Un K Roaknay Say
Na Koi Ruka Tha
Na Koi Ruka Hai
Na Koi Rukay Ga
Phir Bhi
Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain


Loog To Dartay Hain
Muhabat Karnay Waloon Say
Ager Nahi Dartay To
Chalo Aik Charat Lagatay Hain
Kah
Sab Mil K Muhabat Ko Roak Lo Gay
Tumhain Apni Taqat Pe Gharoor Hai
To Mujhay Bhi Apni Muhabat Pe Yakeen Hai
Main Janta Hon
Kah
Sab Mil Kar Bhi Nahi Roak Sako Gay
Sab Jantay To Hain
Lakin
Phir Bhi
Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain



Mene Kaha Kharab Hun Gardish-e-Chashm-e-Mast

Mene Kaha Kharab Hun Gardish-e-Chashm-e-Mast Se
Us Ne Kaha K Raqs Kar Sara Jahaan Kharab Hai...

Mene Kaha Kharab

Hamein Tashheer Ki Khwahish Nahi - Two Lines Poetry

Hamein Tashheer Ki Khwahish Nahi, Bas Roshni Ki Hai,
Kisi Ko Mat Batana Ye Diye Ham Ne Jalaye Hain….
Tashheer: Advertise, Diye: Lamps
Diya jalaye rakhna

Teacher’s Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Teacher’s Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Teacher’s Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Teacher’s Day sms greeting


Dear Teacher
You are so wise…
And full of knowledge
You have always guided me…
To the correct paths of life…
Wish you joy’n happiness…
On this Teacher’s Day


The way you teach…
The knowledge you share…
The care you take…
The love you shower..
Makes you…
The world’s best teacher…
Happy Teacher’s Day!


Happy Teacher’s Day Mubarak to all of you from shayari Online Team



Wednesday, May 26, 2010

Night Tips

NIGHT TIPS:


>wazu kr k sona.


>bister jharna


>dahini krwat pr sona


>tahajjud &fajr k lea jagne ki neyat krna


>1 glass pani p k sona


>pehla kalma


>ayat ul kursi


>sub ko maaf kr k sona


>sonay ki dua prh kr sona


“ALLAH HUMMA BISMIKA AMOOTO WA AHYA.”


(Har rat hm ek dusry ko gudnite k msgs krty hain.aj ye fwd krain.agr kisi ek ne b amal krlya to ap b sawab painge..


Talbe dua

Me Janta Hun K Us K Bina Jee Nahi Sakta

Me Janta Hun K Us K Bina Jee Nahi Sakta

Haal Us Ka Bhi Yehi Hai Magar Kisi Or K Liye...

Submitted By: Waqas Ali

Relationship Is Like Stapling Paper

Relationship are like stapling papers togeather,
Easy to attach but difficult to detach,
even if detached they leave a mark on whole life.

Piyar ka jazba

Ayse to kisi shaks ko ruswa nhi katry..
Apnu k sitam par koi shikwa nhi karty…


Manzil pe pohchny ki talab hoti hai jin ko..


Raston py khary ho k wo socha nhi karty…


Rakhty hain jo auron k liye pyar ka jazba…


Wo log kbhi toot k bikhra nhi karty…

Tuesday, May 25, 2010

Zara Mujay Apna Mobile Dikhana

Wife: Zara Mujay Apna Mobile Dikhana.


Husband: Wait,


Us Ko me on To Kr Lu.
Delete Videos
Delete Pictures
Delete Private Folders
Delete Nmbers
Delete All Messages
Delete Delete Delete Delete Delete Delete .


Format Memory Card .


Yeh Lo… .


Wife: acha 10 Baj Gaye Hn… Bs Time He Dekhna Tha, THnX :) 😀

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho


Tum Jahan Peh Beth K Jati Ho
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon

Mera jee hai jab tak teri justaju hai – Khwaja Mir Dard



mera jee hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai
khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai
tamanna hai teri agar hai tamanna
teri aarzoo hai, agar aarzoo hai
kiya sair hum ne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti mein ajab rang-o-bu hai
ganimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi aankh, main hun na tu hai
nazar mere dil ki padi “dard” kis par
jidhar dekhata hun wahi ru-ba-ru hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Khwaja Mir Dard



Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa



Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Dey Mujh Ko


Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko


Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko

Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko


Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar Jaoun Kahein
Main Houn Saktey Mein Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko


Dekh Main Ho Gya Houn Badnaam Kitboun Ki Trah
Meri Tashheer Na Kar Ab To Jala Dey Mujh Ko


Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aisy Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko


Aur Kuch Nahein Manga Meray Malik Tujh Sey
Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko


Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nighal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko


Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko



Sunday, May 23, 2010

Abhi Masroof Hun Kafi Kabhi Fursat Me

Abhi Masroof Hun Kafi, Kabhi Fursat Me Sochun Ga

K Tujhe Yaad Rakhne Me, Main Kya Kya Bhool Jata Hun...

Abhi Masroof Hun

Meri saadgi dekh kya chahta hon

Kisi ne Allama Iqbal se pocha “aqal ki intiha kya hy?”


jawab mila: “Hairat”


phir pocha gaya:
hairat ki intaha?
Jawab mila ” ishq
“ishq ki intiha kya hy?”


farmaya: “Ishq la intiha hy, es ki koi intiha nahi”


sawal karne wale ne kaha: “magar aap ne likha hy,
‘tere ishq ki intiha chahta hon”


aap ne muskura kr kaha: “dosray misray me apni ghalti ka aitraaf b kya hy k
“Meri saadgi dekh kya chahta hon”

Dada Or Dadi Ne

Dada or dadi ne,apni jawani ke dino ko phir se yad kar ke manane ka socha,
.
unho ney faisla kia ke hum phir drya kinare milangay,
.
dada suba jaldi uth kar tyar ho ke, gulab le kar drya kinare pohncha, boht dair ho gayi dadi nahi ayi,wo ghusse me ghar aya, or phool phainkty howe bola, tum ayi kion nhi?
.
Dadi sharmaty howe boli:
.
Ammi ne jane nai diya

Aaj Itna Udaas Hoon Nasir

Aaj Itna Udaas Hoon Nasir

Jese Zulfen Jawan Bewah Ki...

Aaj Itna Udaas

Saturday, May 22, 2010

Hall-e-Dill To Sunana Mary Kaam Tha…!



ggggggggggggg


Hall-e-Dill  To  Sunana Mary Kaam Tha…!
Koe Fasana Banaiey To Mai Kiya Kahoon…


Zindagi Ko Roshni Dikhana Mary Kaam Tha…
Koi Diya Ko Bujhaiey To Mai Kiya Kahoon…


Chand Sitaron Mai Samana Mary Kaam Tha…
Koi Haqiqat Chhupaiey Tu Mai Kiya Kahoon…!



kamal-e-zabt ko khud bhi to aazamaungi -Parveen Shakir



kamal-e-zabt ko khud bhi to aazamaungi
main apne hath se us ke dulhan sajaungi
supurd kar ke use chandani ke hathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaungi
badan ke karb ko wo bhi samajh na payega
main dil mein roungi aankhon mein muskuraungi
wo kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaungi
wo ik rishta-e-benam bhi nahi lekin
main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi
bicha diya tha gulabon ke sath apna vajud
wo so ke uthe to khwabon ke rakh uthaungi
ab us ka fan to kisi aur se manasub hua
main kis ke nazm akele mein gungunaungi


javaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah raha tha ke main us ko bhool jaungi


sama’aton mein ghane jangalon ke sansen hain
main ab kabhi teri aavaz sun na paungi


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Parveen Shakir



Hindi shayari sms in words



Laut jati hai duniya gam hamara dekhkar,
Jaise laut jaati hai lehere kinara dekhkar.
Tu kandha na dena mere janaze ko,
Kahi fir se zinda na ho jau tere sahara dekhkar


Tujhe dekha to ye jana sanam KOYLA hota
hai kyon kala sanam Tere liye Fair And
Lovaly kaha se layenge hum SURF EXCEL
se karenge tujhe UJALA sanam


`
Khushi agar hum se daaman bachati hai to bachaye
Humein to gum hi hain raas aaye
Mohabbat ka yeh ajab dastoor dekha
Ussi ki jeet hai……jo haar jaaye……. ..


Hai sab naseeb ki bate khata kisi ki nhi hoti,
Ye duniya bewafa kisi ki nhi hoti,
Theek nhi roshni pr jyada gurur karna,
Chirag sbke bhujenge ye hawa kisi ki nhi hoti.


Zindagi mein naye log hardum milenge,
Kaheen jyada to kaheen kam milenge,
Aitbaar zara soch kar karna,
Mumkin nahin har jagah tumhein ‘HUM’ milenge





Share with us more Hindi shayari sms in  words in comments section below.



Good friends In A Life

Good friends are those that keep a good relation even when you totally screw up,they say sorry even when they know they are not at fault, they make u do stupid things but support u when u are in trouble,make u smile when u cry, be totally busy but be there when u need them, i do not always do the right things, but i love my frndz and value them and when i screw up thngs jst know that I am sorry ! Life is short and u people are very important to me…!!!

Can U swim?

American: Can U swim?


Pathan: No


Amrican: Dog is Better than U


bcz it Swims


Pathan: Can U Swim?


Amrican: Yes


Pathan: whats the Diffrence between U & Dog.


GEO Khan

Friday, May 21, 2010

Udaasiyo Ka Mosam

Ye Udaasiyon Ka Mosam Meri Zindagi Na Le Le..


Mera Dam Nikal Na Jaaye Usey Yaad Krty Krty..!

Himat ker Himat

,****,


(@.@)


^ /


/


Maan sadkay jaway…..


Pehlay rozay me he kesi shkl nikl aai hai…abi to 29 rozay baqi hai…


Himt kr himt.!

Zaberdast Offer In Ramzan Inshallah



Zaberdast Offer In Ramzan Inshallah
Ik Naya Zaberdast FREE PACKAGE!
1 Neki Pr 70 Nekiyan Free
1 Hrf Tilawat Pr 10 Se 70 Se 700 Nekiyan Bilkul Free
1 Namaz Pr 70 Namazon Ka Free Sawab
Nafal Nimaaz Ka Ajr Farz K Braber
Yad Rakhain Ye Package 1st Ramzan Se 30 Ramzan Tak Valid Hoga
Is OFFER Se Ziadah Se Ziadah Faida Hasil Karian.
Pata Nahi Phir Moqa Miley Ya Nahi.



Thursday, May 20, 2010

Khoobsurat Tumhari Aankhen

Tu jaane na ki kaun hai tu,
phoolo ke Gulistan ka sartaj hai tu,
honge gulshan me gul hazaar,
in gulo ka gulaab hai tu,


Tu na jane ki kaun hai tu,
sangeet jaisi awaz ka sur-taal hai tu,
Hoti hai jab amaawas ki raat to,
Ugte huye suraj ka ahsaas hai tu,


Tu na jane kaun hai tu
udasi bhare chero ki mushkan hai tu
hote hai jb gam k badal asman me
th baadlo k beech se nikalta hua chand hai tu…..


Tu Jaane na ki kaun hai tu,
Oss ki boondo jaisi taajgi ka ehsaas hai tu,
aati hai jab mere hoto pe udasi ki aahat,
hasta hu fir bhi,us hasi ka raaz hai tu,


Tu jaane na ki kaun hai tu,
Dhadkate dilo ki baichani ka naam he tu,
Tanhai me jab band hoti hai palke meri,
bahte huye ashko ka sailaab hai tu,


Tu na jaane ki kaun hai tu
mahakati hui garm saanso ka guman hai tu,
Tadpta raha pane ki chahat me jisko umar bhar,
Wo reshmi khwaabo ka gunahgaar hai tu,


Tu na jaane kaun hai tu,
Dil ko jo sakoon he,wo awaj hai tu,
yu to suni hai sangeet bahut maine,
sargam se bhi khanakati,koyal ki awaz hai tu,


Tu Jane na ki kaun hai tu,
Me na jaanu ki kaun hai tu,
Me tujhme,tu Mujhme samaay is tarah,
k me jism,tu jaan,par itna b na jane tu,


Tu na jaane kaun hai tu,
chandni raat ke jazbaad hai tu,
Hai dhero rang is jahana me magar,
Hatho me lagi Mehndi ka rang hai tu
Tu jane na kaun hai tu,
khwabo me jo aaye,wo tajmahal hai tu,
Likhe to rait pe lakho haseen naam maine,
mera dil jo dhadkaye,wahi naam hai tu,


Tu na jaane kaun hai tu,
savere ki pahli kiran ka naam hai tu,
chah-chahati hai jab chidiya ujale me,
us madhur awaz ka ahsaas hai tu,
—Javed Patel—-

aadmi aadmi se milta hai – Jigar Moradabadi



aadmi aadmi se milta hai
dil magar kam kisi se milta hai


bhool jata hun main sitam us ke
vo kuch is sadagi se milta hai


aj kya bat hai ke phoolon ka
rang teri hansi se milta hai


mil ke bhi jo kabhi nahi milta
tut kar dil usi se milta hai


kar-o-bar-e-jahan sanvarate hain
hosh jab bekhudi se milta hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jigar Moradabadi



Normal Valentine Weeks Calendar

Normal Valentine Weeks Calendar:
February 7, 2013: Rose Day
February 8, 2013: Propose Day
February 9, 2013: Chocolate Day
February 10, 2013: Teddy Day
February 11, 2013: Promise Day
February 12, 2013: Hug Day
February 13, 2013: Kiss Day
February 14, 2013: Valentine Day


My Valentine Weeks Calendar
February 7, 2013: Forever Alone Day
February 8, 2013: Forever Alone Day
February 9, 2013: Forever Alone Day
February 10, 2013: Forever Alone Day
February 11, 2013: Forever Alone Day
February 12, 2013: Forever Alone Day
February 13, 2013: Forever Alone Day
February 14, 2013: Forever Alone Day :(

Meri ankhain ojhal ojhal

ay kash k meri rahon mai beetey wo zamane aa jayen
mai samney un k baitha hon mere dost purane aa jayen


jo chord gaye tanha muj ko ma geet unhi k gata hon
kisi roz wo meri rahon pe mera dil he dokhane aa ja


ik bar jo dori ho jaye phir sath wo chal b saktey hain
per bat kahan wo rehti ha sab chahey manane aa jayen


meri ankhain ojhal ojhal hain mere din b bhojal bhojal hain
merey samney a nahi sakte ger mera khwab churane a jayen.

Pathan writing his Diary

Pathan writing his Diary:


“My sister had a baby


this morning..


I have not heard


that


its


a boy


or


a girl..


So,


I dont know whether


I am


uncle


or aunty…”:D

Bohat Khamosh Rehta

Buhat khamosh rehta tha
Kisi se kuch na kehta tha


Wo jub bhi muskurata tha
Baharain aa hi jaati thin
Bus ek pal ki udaasi se
Khizaen aanay lagti thin


Mujhay mehsoos hota tha
Ke jese her haseen mosam
Usi ki dastaras mai ho


Magar ek din
Mere bas itna kehne par
Ke hum ab mil na payenge


Wo itna toot ke roye
ke samundar sochta hoga


Us ki aankhon mai ya mujh main
Paani kis mai zyada hai ……….!!

Wednesday, May 19, 2010

Unhe Mujh Se Mohabbat Ho Rahi Thi

Unhe Mujh Se Mohabbat Ho Rahi Thi
Na Khulti Aankh To Bus Ho Gai Thi...

Unhe Mujh Se

khaloos-e- Niyat

Baat”Sajdon”ki Nahin khaloos-e- Niyat ki hoti hai, “IQBAL”


Aksar Log Khali hath Laut atay hain hr”Namaz”k baad.

Ali Akbar, Ali Akbar



Kahti Thi Ay Maa Khoon Bhari Maiyat Sai Lipat Kar
Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar


Arman Tha Pahnawoon Gi Poshak Shahani
Afsoos Kai Raas Aaie Na Tujh Ku Ay Jawani
Kaisa Tha Muqaddar, Hai Hai Ali Akbar


Aathara Baras Paal Kai Parwan Charhaya
Aur Gaisuwoon Wala Hai Mera Khoon Main Nahaya
Khurban Ho Maadar, Hai Hai Ali Akbar



Itna To Zara Tehro Tumhain Dhula Bana Loon
Bas Ek Jhalak Sahrai Ki Sugra Ku Dhika Loon
Baichain Thi Kwahar, Hai Hai Ali Akbar


Maa Teri Judaie Main Bhala Kaisai Jaie Gi
Mar Jaayaigi Sugra Jo Khabar Teri Sunai Gi
Ab Kya Karoon DilBar, Hai Hai Ali Akbar


Tehro Kai Main Atharween Mannat To Badha Loon
Phir Lai Kai Balayain Tujhai Jeenai Ki Dua Doon
Sadqai Ho Ay Maadar, Hai Hai Ali Akbar


Pahalai To Ek Aawaz Pai Uthja Tai Thai Beta
Ab Etni Saadawoon Pai Bhi Pahloo Nahi Badla
Kya Ho Ga Ya DilBar, Hai Hai Ali Akbar


Tum Hikhkiyaan Lai Lai Kai Jo Dam Toor Rahai Ho
Moo Maa Sai Hamaisha Kai Liye Moor Rahai Ho
Kuyn Roothai Ho DilBar, Hai Hai Ali Akbar


Aaye Jo Hamain Loot Nai Khimai Main Sitaamgar
Maa Dai Gi Sadaayain Ali Akbar, Ali Akbar
Chin Jaayai Gi Chaadar, Hai Hai Ali Akbar


Jab Koie Jawan Laash Nazar Aati Hai Mahshar
Ek Yaad Suie Kar Bo Bala Jaati Hai Mahshar
Dil Ro Ta Hai Kah Kar, Hai Hai Ali Akbar



Me Nazuk Barf Ka Ek Tukra Tu Rakh K Bhool Gaya

Me Nazuk Barf Ka Ek Tukra, Tu Rakh K Bhool Gaya Mujh Ko
Me Qatra Qatra Pighla Hun, Tu Meri Aziyat Kya Jane...

Me Nazuk Barf

Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum

jab mohabbat ka iqrar karte ho tum
dhadkano mein naya rang bharte ho tum
baarha kar chukay ho, magar aaj phir
mujhko apna banane ka wada karo


sirf lafzon se iqrar hota nahi
ik janib se hi pyaar hota nahi
main tumhein yaad rakhne ki khaoon kasam
tum mujhko na bhulane ka wada karo

Mai Pal Do Pal Ki Shayar Hu



Mai Pal Do Pal Ki Shayar Hu,
Pal Do Pal Meri Kahani Hai,


Pal Do Pal Meri Hasti Hai,
Pal Do Pal Meri Jawani Hai


Mujse Pehle Kitne Shayar ,
Aye Aur Aake Chale Gaye,


Kuch Aahe Bhar Ke Lout Gaye,
Kuch Nagme Gaa Kar Chale Gaye,


Vo Bhi Ek Pal Ka Kissa The,
Me Bhi Ek Pal Ka Kissa Hu,


Kal Tumse Judaa Ho Jaaongi,
Jo Aaj Tumhara Hissa Hu.

Kal Aur Aayenge Nagmo Ki,
Khilti Kaliya Chunne Wale,


Mujse Behtar Kehne Wale ,
Tumse Behtar Sunne Wale,


Kal Koi Mujko Yaad Kare
Kyu Koi Mujko Yaad Kare,


Masroof Zamana Mere Liye,
Kyu Waqt Apna Barbaad Kar
E
Me Pal Do Pal Ki Shayar Hu,
Pal Do Pal Meri Kahani Hai,


Pal Do Pal Meri Hasti Hai,
Pal Do Pal Meri Jawani Hai.



Tuesday, May 18, 2010

Dhoka Deti Hai Shareef Chehron Ki Chamak

Dhoka Deti Hai Shareef Chehron Ki Chamak Aksar
Har Kaanch Ka Tukra Heera Nahi Hota...

Dhoka Deti Hai

Jab lage zakhm to qatil ko dua di jaye – Jan Nissar Akhtar



jab lage zakhm to qatil ko dua di jaye
hai yahi rasm to ye rasm utha di jaye
tishnagi kuch to bujhe tishnalab-e-gam ke
ik nadi dard ke shaharon mein baha di jaye
dil ka wo hal hua ae gam-e-dauran ke tale
jaise ik lash chattanon mein daba di jaye
hum ne insanon ke dukh dard ka hal dhundh liya
kya bura hai jo ye afva uda di jaye
hum ko guzri hui sadiyan to na pahachanengi
aane wale kisi lamhe ko sada di jaye
phul ban jati hain dahake hue sholon ke laven
shart ye hai ke unhen khub hawa di jaye
kam nahi nashe mein jade ke gulabi raten
aur agar teri javani bhi mila di jaye
hum se pucho gazal kya hai gazal ka fan kya hai
chand lafzon mein koi aah chupa di jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jan Nissar Akhtar


jab lage zakhm to qatil ko dua di jaye
hai yahi rasm to ye rasm utha di jaye
tishnagi kuch to bujhe tishnalab-e-gam ke
ik nadi dard ke shaharon mein baha di jaye
dil ka wo hal hua ae gam-e-dauran ke tale
jaise ik lash chattanon mein daba di jaye
hum ne insanon ke dukh dard ka hal dhundh liya
kya bura hai jo ye afva uda di jaye
hum ko guzri hui sadiyan to na pahachanengi
aane wale kisi lamhe ko sada di jaye
phul ban jati hain dahake hue sholon ke laven
shart ye hai ke unhen khub hawa di jaye
kam nahi nashe mein jade ke gulabi raten
aur agar teri javani bhi mila di jaye
hum se pucho gazal kya hai gazal ka fan kya hai
chand lafzon mein koi aah chupa di jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jan Nissar Akhtar



Larkiyon k TOP 10 JHOOT:

Larkiyon k TOP 10 JHOOT:


1. I miss u.


2. Main jhoot nhi bolti.


3. Main pehli dafa kisi larkay se baat kr rhi hon.


4. Main cousin se baat kr rhi thi.


5. Mujhe TUM kehna acha nhi lagta.(Dis line iz 100% true)


6.Main pyar pe believe nhi krti.


7.Main dosri larkion jaisi nhi.


8.Mujhe kuch nhi pata.


9.Sub larkay ek jaise hotay hain.


10.Tum meri zindgi k pehlay or akhri larkay ho.main nhi reh paongi tumahre bina.


Send to all boys

Aoo Kabhi Milne Ko Bahana Nahi Acha



Aoo Kabhi Milne Ko Bahana Nahi Acha,
Nazron Mein Raho Meri , Zamana Nahi Acha.


Mango Jo Khushi Se To Dil-0-Jan Luta Doon,
Youn Chup K Mere Dil Ko Churana Nahi Acha.


Ham Aaj Bhi Kaayil Hain Usi Baat K Yaro,
Jab Dil Na Milain , Hath Milana Nahi Acha.


Do Din Ki Zindagi Hai Usay Hans K Guzaro,
In Keemti Lamhon Ko Ganwana Nahi Acha.


Share By : Syed Aslam



Monday, May 17, 2010

Ek Aadmi Aur bacha

Ek Aadmi Apne Dost ke ghar
gaya, Bell
bajai
“Ding dong.. ting tong”
Ek Bachcha bahar aaya
Aadmi: Beta Papa ghar pe
hain ?
Bachcha: uncle Papa toh
Bazar gaye
hain..
Aadmi: Chalo Bade Bhai ko
bula do
Bachcha: ji woh cricket
khelne gaya
hai
Aadmi: Beta mummy toh
hongi ghar
pe ?
Bachcha: Ji woh kitty party
mein gai
hai
Admi gusse me: Toh Beta
tum ghar pe
kyun baithe hue ho tum bhi
kahin
chale jao :/
Bachcha: ji main bhi toh
apne Dost ke
Ghar aaya huya hun :

Meri SHadi Abhi Bohat Door Hy

Ankho My Goror Hy
Dil My Soror Hy
Koi Mangy Mera Number To Dena Zaror Hy


Q K


Meri Shadi Abhi Bohat Door Hy: ->

Sunday, May 16, 2010

Teri Gali Whicho Langaa Ge Jaan Jaan Ke

Teri gali whicho langaa ge jaan-jaan ke,
saanu pata ae ki tu Thane report likhvayi hoyi ae,
jaa ke puch layi tu Thanedaar nu,
assi ohdi vi kudi fasayi hoyi ae!!!

Wish U Happy EID MUBARAK

May the Blessings of ALLAH fill your


Life with happiness and open all doors of


Success now and always…..


“Wish u a very Happy EID MUBARAK” :)

Saturday, May 15, 2010

Mummy Ka Sath ku Sote Ho

Beta: Papa Aap Mummy K Sath Q Sote Ho?


Papa: Sath Sone Se Piyaar Barhta Hy Is lye.


Beta: Papa Jhoot Mat Bolo


Is Se Piyar Nhi


Parivaar Barhta Hy.

One Of The Most Beautiful Qualities

One of the most beautiful qualities of true friendship is to understand and to be understood.

Funny Insult Shayeri / poetry



Kisi Charsi Bewaday Ki Baatli Ho Tum
Kya Bemaar Ho Bahut Patli Ho Tum


Barson Pehle Howa Koi Kasoor Ho Tum
Ped Pe Latka Howa Koi Khajur Ho Tum


Bin Baadal Ke Jaise Barkha Ho Tum
Khadi Banti Hai Jisse Wo Charkha Ho Tum


insult Poetry



Kitni Tareef Karoun Ke Kya Ho Tum
Eek Hi Kaafi Hai Wo Jhatka Ho Tum


Bewkoof Ho Bilkul Anaadi Ho Tum
Bina Ghoday Ki Gaadi Ho Tum


Poori Ammavas Ki Shaam Ho Tum
Bilkul Choosa Howa Aam Ho Tum


Galat Disha Mein Nikli Bijli Ho Tum
Kabhi Na Mitne Waali Khujli Ho Tum


Jise Koi Nahi Dekhta Wo Cinemaa Ho Tum
Bina Naadey Ke Phisalta Paijama Ho Tum


Sara Din Padosioon Ko Sataati Ho Tum
Gadhon Ki Kya Kami Hai Jo Gaati Ho Tum


Adh Maray Ko Maarti Pura Ho Tum
Jo Kabhi Na Baje Wo Tambura Ho Tum


Share with us more funny insult shayari sms messages of girl or boy (Hindi , Urdu or English) in comments section . Bcoz sharing is caring



Friday, May 14, 2010

Nazaaron se kauf

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..
Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

Ik Sardar Apny Gar K Bahar

ik sardar apny gar k bahar exercise kar raha tha


qareeb se ghuzarty hoay admi ny kaha


wa sardar sahib kia body hai


Iss pr sardar bola ……….


ye to kuch b nai andar ja kar meri biwi ko dekho :)

Amanat May Khayant

Har Namaz Ke Baad 3 Martaba Pehla Kalma Parho Aur Yeh Dua Mango Ke Aey ALLAH Yeh Kalma Tery Pas Meri Amanat Hai Aur Marney Say 2 Mint Pehly Yeh Mujhay Lotaa Dena.


ALLAH Kabhi Amanat May Khayant Nahi Kartey.

Thursday, May 13, 2010

Maut Se Kah Do K Hum Se

Maut se kah do k hum se
narazgi khatam kr le ab
Wo bhut badal gye jinke
liye hum jiya krte the

Ek Tamanna Hai Faqat Mujh Hi Pe Meharban Raho



Ek Tamanna Hai Faqat Mujh Hi Pe Meharban Raho


Ek Tamanna Hai Faqat Mujh Hi Pe Meharban Raho
Tum Kisi Aur Ko Dekho Tu Bura Lgta Hay,


Meri Chaht Ka Taqza Hay Mere Saath Raho
Ghair Ka Haath Ju Thamoo Tu Bura Lgta Hay,


Aarzoo Hay Tere Hr Roop Ko Hr Pal Deikhoun
Tum Mere Pass Sy Utho Tu Buraa Lgta Hay,


Roz e Shab Aj Bhi Parwha Hay Tumhari Mujh Ko
Tum Kisi Aur Ko Socho Tu Buraa Lgta Hay,


Yeh Mari Rooh Tarusti Hay Tumhari Khushbo Ko
Tum Kahein Aur Ju Mehko Tu Bura Lgta Hay..!



Tumhe Kya Fark Parta Hai | Urdu sad shayari


Karo Phir Sey Koi Wada, Kabhi Na Phir Bicharny Ka,, 

Tumhein Kya Fark Parta Hai, Bicharny Mein, Mukarney Mein..!!


Tags: farq shayari, wada shayari, bicharna poetry, mukarna, sad poetry, dard bhari shayari, 

Shohar biwi mood mai

9 sal k betey ko balcony mai bhej ker kaha k mohaley mai jo kuch ho raha hai batao


Beta:Jamil sab car may ja rahe hain,


ASLAM sAhb ghaas kat rahe hain aur Nasir sahab apni begum ko chood rahe hai. Bap:tmhen kese pta?


beta:q k unka beta bhi balcony mein khara hai?


Submit By: Rehan (0345-8503030)

Attention deficit

Professor:What’s attention deficit hyperactive disorder?


Student: jimbalakadi bamba.


Professor: Sorry, I dont undrstnd wht u said?


Student: Same here sir! 😀

Baharon Ki Masti Ka Asar Acha Nahi Hota

Baharon Ki Masti Ka Asar Acha Nahi Hota

Shajar Sookha Hua Ho To Samar Acha Nahi Hota

Jo Mumkin Ho To Rasty Se Koi Jugnu Pakar Lena

Andheri Raat Ka Tanha Safar Acha Nahi Hota

Milo Kuch Is Tarha K Dil Aapas Me Mil Jaen

Ta'aruf Doston Se Mukhtasar Acha Nahi Hota

Wahin Betho Jahan Saya Mile Apne Darakhton Ka

Kisi K Ghar K Aangan Ka Shajar Acha Nahi Hota

Chalo Acha Hua Dehleez Se Wapis Palat Aye

Jahan Apne Na Bastay Hon Wo Ghar Acha Nahi Hota...

Baharon Ki Masti

Wednesday, May 12, 2010

Haal pochney se

haal pochney se konsa haal theek ho jata ha dooost


tasali-e-dill ho jati ha k koi apna b ha

Kash Hum Bezubaan Hote



Kash Hum Bezubaan Hote
Naa Fir Gham Yun Bayaan Hote
Kash Naa Hoti Zindagi Ki Samajh
Naa Fir Yun Afsaane Jawaan Hote
Kash Naa Khwahish Hoti Kuch Paane Ki
Naa Fir Kuch Khone K Gham Yahan Hote
Gar Tod Jaata Koi Ashiyaan Humara
Fir Bhi Khoobsurat Saare Samaan Hote
Lut Jaati Gar Roshni-E-Zindagi
Fir Bhi Andhere Naa Yahan Hote
Toot-Te Hue Bhi Be-Shubhaah Hote
Kash Hum Bezubaan Hote !!



Tuesday, May 11, 2010

Bulleh Shah Us Nal Yari Kadi Na Liyo,



Baba-Bulleh-Shahs-Punjapi-Poetry-Bulleh-Shah-uss-naal-yaari-kadi-na-laiyo-Sufi-kalam-of-Baba-Bulleh-ShahBulleh Shah Us Nal Yari Kadi Na Liyo,



Jis Nu Apnay Tay Ghroor Hovay


Buray Raste Kadi Na Jayo,


Chahy Kani Wi Manzal Door Hovay


Rah Janday Nu Dill Na Diyo,


Chahy Lakh Mounh Te Noor Hovy


Pyar Sirf Othay Kario,


Jithay Pyar Nibahwan Da Dastoor Hovay…..




Dil main basney walle

Raste ber ro ro kar pocha muj se powon k..
chalown ne basti kitney door banai
Dil main basney walon ne…


Submit By: aamir zaman tanoli (+966569417781)

Iftar invitation

“Iftar invitation”
From.
Me


20 Ramzan
21 Aug 2011 Sunday


Shah Nasir Hall
3rd floor
Buraj_ul_khalifa
Dubbai.


No excuse plz.

Monday, May 10, 2010

fulfilling new year

New Year is the time to unfold new horizons & realize new dreams,
to rediscover the strength & faith within u, to rejoice in simple pleasures &
gear up 4 a new challenges.
Wishing u a truly fulfilling new year!

New Point for Start business

Commerce professor asks the student:
what is the most important source
of finance for starting business?


Student: Father in law

Urdu Morning Greeting

Kainaat k sare rang,
Rangon k sare Phool,
Phoolon ki sari Khushboo
Khushbu ki sare khushi.
Khushi k har lamhe,
or in lamhon se bharpoor,
Zindagi ki Dua sirf Ap k Naam.
GOOD M0RNING

School vs University

*School vs University *
*School=pencil,rubber,sharpner, scale..
*Uni:Ek balpen wo b frnds se cheena hua:)
*School:class me enter h0ny se phly Maam may i come….
*Uni:bina btae he mobile kan se laga k class se bahir:p
*School:bag me her subject ki book & copy……
*Uni:yar aik paper to phar k dae:D
*school=dost mje wo wali class fellow achi lagti hai, 2nd ok
*Uni=jigr bachi chek kr, dusra  oye shram kr bhabi hai teri :-D;-)B-)

Sunday, May 9, 2010

Aashiq Chor Faqeer Khuda Ton Mangde

Aashiq, Chor, Faqeer Khuda Ton Mangde Ghupp Hanera

Ek Lutaway, Ek Luttay, Ek Keh De Sb Kuj Tera...

Aashiq Chor Faqeer

Mje Ankh marte ho

Srdar apni bv k 7 ja rha tha
To
1 lrka ne ankh mari
srdar
tuje shrm ni ati mje ankh marte ho
Lrka
Mene tuje ni teri bv ko mari
Srdar
Sory yr mene tuje glt smja.

Un ke Amal

Kaash un k amal bhi hon achay
Jin ki baatain boht hi piyari hain

Ghor Se Dekho Aaina

Kabhi Tum Ghor Se Dekho Aaina wah wah


Kabhi Tum Ghor Se Dekho Aaina.


Khud hi Hans Kar kaho gy,


MADE IN CHINA .


Hahahahahahahaha..:p:p

Saturday, May 8, 2010

Sweet As horney

Love is as sweet as honey As languish as Wine


As bitter as lemon As tasty as Meal


As angry as devil As long as you want


But remember one thing my Friend,


Love did not need to stay for a time


It starts from very first sight


And last till the end


Happy Valentine Day !!!

Meena Kumari Shayari



Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota
Jab Merii Kahaanii Men Vo Naam Nahiin Hotaa


Jab Zulf Kii Kaalikh Men Ghul Jaaye Ko’ii Raahii
Bad-Naam Sahii Lekin Gum-Naam Nahiin Hotaa


Hans Hans Ke Javaan Dil Ke Ham Kyoun Na Chune Tukre
Har Shakhs Kii Qismat Men Ina’am Nahiin Hotaa

Bahte Hu’e Aansuu Ne Aankhon Se Kahaa Tham Kar
Jo Mae Se Pighal Jaaye Vo Jaam Nahiin Hotaa


Din Duube Hain Yaa Duubii Baaraat Liye Kashtii
Saahil Pe Magar Ko’ii Kohraam Nahiin Hotaa



tum mere bano na bano

Aisa nyaz-e-ishq ne sada bana diya


Hum us k ho gay use apna bana dya


Takder ne falk ne mohbat ne ishq ne


Jis ne bhi chaha mera tamasha bana dya


Veeraniyan samet kr sare jahan ki


Jab kuch na ban saka to mera dil bana dya


Ab tum mere bano na bano hai tum ko ikhtyar


Tkdeer ne to mjh ko tmhara bna dya.


Submit By: Muhammad Younus (03337723144)

Mera Lafz Lafz Dua Dua



Mera Lafz Lafz Dua Dua
Mere Aansuon Se Dhula Hua
Tujhay Zindagi Ke Wo Sehar Miley
Tujhay Muhabaton Ka Safar Miley
Tujhay Dard-O-Gam Na Kabhi Choo Sakay
Teri Ankh Kabhi Na Nam Ho Sakay
Tere Pyar Jis Pe Nisar Ho
Wo Hamesha Tere Pas Ho
Tum Pe Khushiyon Ki Barsat Ho
Aur Taweel Teri Hayat Ho
Ye Dua Hai Koi Gila Nahe
Tujhay Zindagi Main Wo Sakoon Milay
Jo Kisi Ko Kabhi Mila Nahe !!!!!!!



Muntazir The Teri Anayat Ke - Dard Poetry

Muntazir The Teri Anayat Ke,
Kuch To Kia, Chalo Tabah Hi Sahi….

sad poetry urdu

Friday, May 7, 2010

Chand raat shayari




Dekhiyeh chand raat aai hai


sath khushian hazar laee hai


tum chaley aao aik lamhey ko


ham bhi manain ke eid aae hai


chaand bhia ya chand lamhon ko


jaisey tum ney jhalak dikhai hai


ham ne qismat ajeeb paee hai


Eid ka din hai aur judai hai


keh rahe hai hawa mujhy … !


us ne mehndi abhi lagaii hai



Ab ky Phr Eid Ka Din Aa Puhncha hai
Neelay Akash Pe nikla hai abhi eid ka chand
Bakhat Waloon ke Liye Eid Ka Sandes Liye
bhujti ankhoon ke liye deed ka sandes liye
Saray chehroon se thakan door hoi jati hai
hijer waloon ki chuban door hoi jati hai
chand nikla hai shab-e-wasl ka sandes liye
kehkashan bakhat musafir ke paltnay ki naveed
her Kiran hath main thamay ayee
Chand nikla hai…
mager hasrat se…
Chand ki simat meri ankhien taki jati hain
chand akash se takta hai mager…Ankh chura laita hai
meri ankhoon ki nami aur sawaloon ki chuban
us se dekhi nahi jati shayad
meri go-yaee maira sath nahi de pati
ke main us se teri babat pochoon
Us se pochoon ke bata mairay muqadar ke najoom
Kin andheeroon main hoye toot ke reeza reeza
Chand Ankhoon Ko chura Ker mujhe se
Janne kion tall raha hai yeah sawal
kia mairay bakhat main ab ke bhi nahi
Eid Ka Lamha…Wasaal
Kiya Palat ker nahi aye ga wo jannay wala
Kia Meri Eid Faqat Ab ke bhi
ik Aur naya din ho gi
din bhi aisa jo Qayamat Sa ghuzarta hai sada
Durd ke rang meri ankhoon main jo bharta hai Sada
ba-kali, durd, jalan, aur sulagti Yadien
Durd ko aur jaga detien hain
Karab ko aur bharha detien hain
Meri be-rang hatheeli pe Dua ki titli
Akhri Saans ki hud per puhnchi
Meri umeed ke saray jugnu
bhujti ankhoon main bhujhay jatay hain
Hont hansnay ke huner se Aari
Dil dharknay ki Riwayat Se Juda
Ankh se khawab alag
mar gaye harf-e-dua
toti sansoon ke hontoon per
Faqat Sard See …Aaah
Dobtay dil se bikherti See Sada Ati hai
Kash…. Aye Kash Ke yeah eid Ka Chand
apnay hathoon yeah sandes deta
mujh se kehta ke huwa hijer tamam
Aye mairay chand teri Eid ki shab mairay naam
Ab Faqat mairay naam
kash yeah sandes millay
Kash
neelay Akash Pe nikla hai abhi Eid ka chand
Dil ke Akash Pe dobay ga abhi eid ka chand
dil ke akash se totay ga abhi Eid ka chand



Ab K Soch Rakha Hai Yun EID Manaon Ga


Dard Se Dil Tanhaiyun Se Ghar Sajaon Ga


Log Hain Muntazir Chaand K, Mujhe Intizaar Tumhara Hai


Logon Ki EID Chaand Se Main Tumein Dekh Kar EID Manaon Ga


Log Mil Kar Galay Muskuratay Hain


Main Bahon Mein kho Kar Teri Phir se Ashq Bahaon Ga


Ab To Aa Jao K Main Bhi EID Manna Lon


Tum Na Aaye To Main Yeh dunia Hi Chhor Jaon Ga,!!



Share with us more .. Chand raat shayari  in comments section below




Rose Day Shayari




Gulab Se Poocho (Ask A Rose)



Pooche Har Koi Gulab Se


Kya Mila Tumhe Kaanton Se



Bana Main Phoolon Ka Raja


Kisi Dulhan Ka Sahera


Kahe Gulab Khushi Se



Pooche Har Koi Humse


Kya Mila Tumhe Bewafa Pyar Se



Aashique Kahalaye Lakhoon Mein


Har Ik Ki Tassalyee Payi Humne


Wafa Humne Apni Nihbhaee


Kahe Ye Dil Jamane Se




Thursday, May 6, 2010

Lamhay Bhar Ka Sath Mera Aur Uska, Safar Me

Lamha-Shayari

Lamhay Bhar Ka Sath Mera Aur Uska, Safar Me,
Dey Gaya Be_Chaini Dil ko Ek Lamha, Umar Bhar...

By: Dr. Riaz Ahmed

Dost ban kar bhi nahi sath nibhanevala – Ahmed Faraz



Dost ban kar bhi nahi sath nibhanevala
wohi andaz hai zalim ka zamanevala
ab ise log samajhate hain giraftar mera
sakht nadim hai mujhe dam mein lanevala
kya kahen kitne marasim the hamare is se
wo jo ik shakhs hai muh pher ke janevala
tere hote hue aa jati thi sari duniya
aj tanha hun to koi nahi aanevala
muntazir kis ka hun tuti hui dahaliz pe main
kon aayega yahan kon hai aanevala
main ne dekha hai baharon mein chaman ko jalate
hai koi khwab ke tabir batanevala
kya khabar thi jo meri jan mein ghula hai itna
hai wohi mujh ko sar-e-dar bhi lane vala
tum taqalluf ko bhi ikhalas samajhate ho ‘faraz’
dost hota nahi har hath milanevala


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Top 10 lie/Jhoot of Boys in Urdu

Boys k Top 10 jhoot!!


1-Mujy tmhari boht fikar hy (jhoota :p)
2-Tm meri life ki pehli or akhri pasnd ho… (astagfirullah :@)
3-cell silent pe tha jaan (larky ka mob or silent?? :o)
4-Ami ki call thi jani (had hogai :)
5-Hmari shadi zarur hogi. (kis se wo abi pta ni ;))
6-Mushkil waqt main muje sath paogi..! (bhagne walo k 7 :D)
7-Pyar main sub jaiz h mri jaan…. (chahe izat ki Abc hojaye :/)
8-Tmhary parnts mery parnts hain (sirf shadi se pehle tak :p)
9-Tmhary siwa kisi se bat nai krta… (Sirf tUmhRy samNy ;))
10-Tum na mili to kanwara betha rahonga…!:D (puray ek hafty tak :

Ishq zinda bhi chor

Ishq zinda bhi chorr deta hai.


Tum ko apni misaal dety hain..

Wednesday, May 5, 2010

That Awkward Moment

That awkward momment:


when you already said What 3 times and


still dont know what they said


so you just agree

Tuesday, May 4, 2010

Yaadein Bhi Ajeeb Hoti Hai

Yaadein Bhi Ajeeb Hoti Hai Jab Nahi Hota Koi Paas,
Toh Yaadein Hoti Hai Yu Toh Saath Rehkar Bhar
Bhi Koi Saath Nahi Rahta Kehne Ko Bahut Kuch Hota Hai,
Par Ankaha Reh Jata Hai Bichad Jane Par Bhi,
Fariyaad Hoti Hai Yaadein Bhi Ajeeb Hoti Hai,
Jab Nahi Hota Koi Paas Toh Yaadein Aati Hai
Zindagi Ek Safar Hai Guzar Hi Jayega,
Waqt Toh Waqt Hai Kat Hi Jayega.

Ya Masihai Usy Bhool Gai Hai Mohsin

Ya Masihai Usy Bhool Gai Hai Mohsin

Ya Phir Is Bar Mera Zakhm Hi Gehta Hoga...!

Ya Masihai Usy

Itna Manoos Hun Sannatay Se

Itna Manoos Hun Sannatay Se
Koi Bole To Bura Lagta Hai...

Itna Manoos Hun

Nazr-e-Fareb Qazaa Kha Gai To Kya Ho Ga

Nazr-e-Fareb Qazaa Kha Gai To Kya Ho Ga
Hayaat Mout Se Takraa Gai To Kya Ho Ga

Nayi Sahar K Bohat Log Muntazir Hain Magar
Nayi Sahar Bhi Jo Kajlaa Gai To Kya Ho Ga

Na Rah'numaaon Ki Mehfil Me Le Chalo Mujh Ko
Me Be-Adaab Hun Hansi Aa Gai To Kya Hoga

Gham-e-Hayaat Se Be-Shak Hai Khud-Kushi Aasan
Magar Jo Mout Bhi Sharmaa Gai To Kya Ho Ga...

Nazr-e-Fareb Qazaa

Monday, May 3, 2010

Yaad kerte the mujh

Tum ajnabi thay to Roz yad krtay thy mujhe


Tumein apna hone ka ehsas dilaya to yaad hi krna chor dia

Sunday, May 2, 2010

Love Hurts

Love hurts when you break up with some one.
Hurts even more when someone breaks up with you But love hurts
the most when the person, you love has no idea how you feel.

Fir Aake Chale Jaana, Ik Baar Chale Aao



Fir Aake Chale Jaana, Ik Baar Chale Aao
Surat To Dikha Jaao, Ik Baar Chale Aao
Tumko Mere Geeton Ka Sangeet Bulata Hai
Kuch Geet Mere Sun Lo Kuch Apne Suna Jaao
Jo Tum Bulaayen Fir Tum Shauk Se Mat Aana
Kis Baat Pe Roothe Ho Itna To Bata Jaao
Kya Dil Ke Tadapne Ka Ehsaas Nahin Tumko
Ab Jaan Pe Ban Aayi Lillah Chale Aao



Yaad Shayari SMS – Masoom

Mujhe jeeney ki umeed dobara dado,
mein dard k sahil pe tanha khada hon,
phir aake apne bahon ka sahara dado,
tera daman to bhara hai sitaro se,
mujhe sadqe mein ek sitara dado,
meri aagan me aaj andhera hai bohat,
mere dehleez ko phir apna nazara dado,
chand{some} lamhe tujhe dekhne ke hasrat hai bas,
meinne kab kaha waqt apna sara mujhe dado. I love u ARIFA

Keep Love In Your Heart

Keep love in your heart.
A life without it is like a sunless garden when the flowers are dead.

Your Are Genius

If you learn from your mistakes,


you are intelligent,


But if you learn from somebody mistake,


you are Genius.

Udhaas Chehrey Pa Ek Muskaan

Log Har Mor Pe Ruk Ruk K Sambhalte Kyon Hain,
,
Itna Darte Hain To Phir Mohabat Karte Kyon Hain,
,
Main Na Koi Jugnu Hon Na Diya Na Chand,
,
Phir Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain,
,
Is Main Mosam Ka Kasoor Hai Ya Logon Ka
Wasi
Log Mosam Ki Tarha Pal Bhar Mein Badalte Kyon Hain. .