Tuesday, May 25, 2010

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa



Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Dey Mujh Ko


Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko


Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko

Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko


Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar Jaoun Kahein
Main Houn Saktey Mein Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko


Dekh Main Ho Gya Houn Badnaam Kitboun Ki Trah
Meri Tashheer Na Kar Ab To Jala Dey Mujh Ko


Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aisy Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko


Aur Kuch Nahein Manga Meray Malik Tujh Sey
Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko


Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nighal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko


Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko



No comments:

Post a Comment