Tuesday, May 18, 2010

Jab lage zakhm to qatil ko dua di jaye – Jan Nissar Akhtar

jab lage zakhm to qatil ko dua di jaye
hai yahi rasm to ye rasm utha di jaye
tishnagi kuch to bujhe tishnalab-e-gam ke
ik nadi dard ke shaharon mein baha di jaye
dil ka wo hal hua ae gam-e-dauran ke tale
jaise ik lash chattanon mein daba di jaye
hum ne insanon ke dukh dard ka hal dhundh liya
kya bura hai jo ye afva uda di jaye
hum ko guzri hui sadiyan to na pahachanengi
aane wale kisi lamhe ko sada di jaye
phul ban jati hain dahake hue sholon ke laven
shart ye hai ke unhen khub hawa di jaye
kam nahi nashe mein jade ke gulabi raten
aur agar teri javani bhi mila di jaye
hum se pucho gazal kya hai gazal ka fan kya hai
chand lafzon mein koi aah chupa di jaye

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jan Nissar Akhtar

No comments:

Post a Comment