Zamana aj nahi dagamaga ke chalne ka
sambhal bhi ja ki abhi waqt hai sambhalane ka
bahar aaye chali jaye phir chali aaye
magar ye dard ka mausam nahi badalne ka
ye thik hai ki sitaron pe ghum aaye hain
magar kise hai saliqa zamin pe chalne ka
phire hain raton ko aawara hum to dekha hai
gali gali mein saman chand ke nikalne ka
tamam nasha-e-hasti tamam kaif-e-vajud
wo ik lamha tere jism ke pighalne ka
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jan Nissar Akhtar
No comments:
Post a Comment