Saturday, May 22, 2010

kamal-e-zabt ko khud bhi to aazamaungi -Parveen Shakir



kamal-e-zabt ko khud bhi to aazamaungi
main apne hath se us ke dulhan sajaungi
supurd kar ke use chandani ke hathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaungi
badan ke karb ko wo bhi samajh na payega
main dil mein roungi aankhon mein muskuraungi
wo kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaungi
wo ik rishta-e-benam bhi nahi lekin
main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi
bicha diya tha gulabon ke sath apna vajud
wo so ke uthe to khwabon ke rakh uthaungi
ab us ka fan to kisi aur se manasub hua
main kis ke nazm akele mein gungunaungi


javaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah raha tha ke main us ko bhool jaungi


sama’aton mein ghane jangalon ke sansen hain
main ab kabhi teri aavaz sun na paungi


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Parveen Shakir



No comments:

Post a Comment