Thursday, October 22, 2009

Tere qarib rahun ya ki dur jaun main – Iftikhar Imam Siddiqui



Tere qarib rahun ya ki dur jaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chahun main
main janata hun wo rakhta hai chahaten kitni
magar ye baat use kis tarah bataun main
jo chup raha to samajhega badguman mujhe
bura bhala hi sahi kuch to bol aaun main
phir is ke bad ta’alluq mein fasale honge
mujhe sanbhal ke rakhna bichad na jaun main
muhabbaton ke parakh ka yahi to rasta hai
teri talash mein nikalun tujhe na paun main


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Imam Siddiqui



No comments:

Post a Comment