jahan phoolon ko khilana tha waheen khilate to acha tha
tumhin ko hum ne chaha tha tumhin milate to acha tha
koi aakar hamen puche tumhen kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkon se shab-e-gam mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silate to acha tha
tumhen jitana bhulaya hai tumhari yaad aayi hai
bahar-e-nau jo aayi hai wo hi khushbu lai hai
tumhare lab meri khatir agar hilate to acha tha
mila hai lutf bhi hum ko hasin yadon ke jhil-mil mein
katati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil mein
agar tum aate to acha tha agar milate to acha tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saadullah Shah
No comments:
Post a Comment