Rona padta hai ek din muskurane ke baad..
Yad aate hain wo dur jane ke baad..
Dil to dukhta hee hai uske liye..
Jo apna na ho sake itni mohabat jatane ke baad..!
Gum na ker eh duffer….yeh to bus…ik zind hai…
Issme gum aur khushi….dono he aate jaate hai..
Dil:-
Phir kya karu??…laakh koshish bhi karu…..per…
bebus hu mai…bus….insaan he to hu…naasuk..
si mitti ka…koi khuda to nahi….
Dimaak:-
Jo milta hai duffer…ussi me saber ker….jo jaata
hai uske jaane ka….tu gum na ker….
Dil:-
per kya kare yeh duffer bhi….kambaqt is dil ka…is dil ka kya kare ab???
Yeh dil hai ki….saala maanta hi nahi….
Duffer:-
Apni ankhon se hi ashkon ko chhupakar rona,
jab bhi rona ho chiragon ko bujhakar rona,
log padh lete hain chehre pe likhi tehriren,
kitna dushwar hai logon se chhupakar rona.
Share with us more Shayari roona in Comments Section below.
No comments:
Post a Comment