Na khauf-e-barq na khauf-e-sharar lage hai mujhe
khud apne bag ke phoolon se dar lage hai mujhe
ajeeb dard ka rishta hai sari duniya mein
kaheen ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
main ek jam hun kis kis ke honth tak pahunchun
gazab ke pyas liye har bashar lage hai mujhe
tarash leta hun us se bhi aaine “manzoor”
kisi ke hath ka pathar agar lage hai mujhe
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Malikzada Manzoor Ahmad
No comments:
Post a Comment