uss shokh se hai mujhko muhabbat bhee ‘fear’ bhee
armaan ke hamraah nikalte hain ‘tear’ bhee
kis tarah se mar jaaoo’n uss pardaa-nashee’n par
aankho’n se jo hai door to hai dil ke ‘near’ bhee
aaye ho to do-chaar gharhee baith ke jaao
haazir hai yumhaare liye masnad bhee ‘chair’ bhee
iss dhang ke dilbar to zamaane mein bahut hain
iss shaql ke insaan hain duniyaa mein ‘rare’ bhee
bekaar hai ummed-e-vafaa ahal-e-jafaa se
seene kee tarah chaak huaa aaj ‘letter’ bhee
soz-e-gham-e-ulfat to khud jaltaa huaa hoo’n ai ”ramz”
aour us pe jalaatee hai mujhe aour ‘summer’ bhee
Share with us more Tanz poetry in Comments Section below.