Sunday, May 13, 2007

Zindagi ka dard lekar inqalab aaya to kya – Shakeel Badayuni



Zindagi ka dard lekar inqalab aaya to kya
ek joshida pe gurbat mein shabab aaya to kya
ab to aankhon par gam-e-hasti ke parde pad gaye
ab koi husn-e-mujassim benaqab aaya to kya
khud chale aate to shayad baat ban jati koi
bad tark-e-ashiqi khat ka jawab aaya to kya
muddaton bichde rahe phir bhi gale to mil liye
hum ko sharm aayi to kya un ko hijab aaya to kya
ek tajalli se munawwar kijiye qatl-e-hayat
har tajalli par dil-e-khanakharab aaya to kya
matala-e-hasti ke sazish dekhte hum bhi ‘shakil’
hum ko jab neend aa gayi phir mahatab aaya to kya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni



No comments:

Post a Comment