Badan mai aag si chehara gulab jaisa hai
ke zahar-e-gam ka nasha bhi sharab jaisa hai
kahan wo qurb ke ab to ye hal hai jaise
tere firaq ka aalam bhi khvab jaisa hai
magar kabhi koi dekhe koi padhe to sahi
dil aaina hai to chehara kitab jaisa hai
wo samane hai magar tishnagi nahi jati
ye kya sitam hai ke dariya sarab jaisa hai
‘faraz’ sang-e-malamat se zakhm zakhm sahi
hamen aziz hai khanakharab jaisa hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment