jahan na teri mahak ho udhar na jaun main
meri sarisht safar hai guzar na jaun main
mere badan mein khule jangalon ke matti hai
mujhe sambhal ke rakhna bikhar na jaun main
mere mizaj mein be-mani ulajhanen hain bahut
mujhe udhar se bulana jidhar na jaun main
kaheen pukar na le gahari vadiyon ka sabut
kisi maqam pe aakar thahar na jaun main
na jane kon se lamhe ke bad-dua hai ye
qarib ghar ke rahun aur ghar na jaun main
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli
No comments:
Post a Comment