Safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo
idhar udhar kai manzil hain chal sako to chalo
bane banaye hain sanche jo dhal sako to chalo
kisi ke vasate rahen kahan badalati hain
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi rasta nahi deta
mujhe girake agar tum sambhal sako to chalo
yahi hai zindagi kuch khwab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
har ik safar ko hai mahafus raston ke talash
hifazaton ke rivayat badal sako to chalo
kaheen nahi koi suraj, dhuan dhuan hai fiza
khud apne aap se bahar nikal sako to chalo
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli
No comments:
Post a Comment