hum dosti ehasaan wafa bhool gaye hain
zinda to hain jine ke ada bhool gaye hain
khushbu jo lutate hain masalate hain usi ko
ehasas ka badala ye milta hai kali ko
ehasas to lete hain sila bhool gaye hain
karte hain muhabbat ka aur ehasas ka sauda
matalab ke liye karte hain iman ka sauda
dar maut ka aur khauf-e-khuda bhool gaye hain
ab mom mein dhalakar koi pathar nahi hota
ab koi bhi qurban kisi par nahi hota
q bhatake hain manzil ka pata bhool gaye hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Payam Saeedi
No comments:
Post a Comment