Wednesday, December 20, 2006

Masti ke phir aa gaye zamane – Hasrat Mohani



masti ke phir aa gaye zamane
aabad hue sharab khane
har phul chaman mein zar-ba-kaf hai
bante hain bahar ne khazane
sab hans pade khil-khila ke gunche
cheda jo latifa saba ne
sar-sabz hua nihal-e-gam bhi
paida wo asar kiya hawa ne
rindon ne p??? kar pila di
waiz ke na chal sake bahane
kar dunga main har vali ko maikhvar
taufiq jo di mujhe khuda ne
hum ne to nisar kar diya dil
ab jane wo shokh ya na jane
begana-e-mai kiya hai mujh ko
saqi ke nigah-e-ashna ne


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Hasrat Mohani



No comments:

Post a Comment